Facebook page name change kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu so agar aapne facebook par koi fan page create kiya hai aur ab apne fb page ka name change karna chahte hai aur nahi janate ki fb page name change kaise karte hai to iss post me aap apne facebook page name change karne ke bare me sikh jayenge.
Apne facebook page ka name change karne ke baad agar aapko fir se apna fb page name change karna hai to aapko 60 days ka wait karna hoga kyuki ek baar fb page name badalne ke baad 60 dino tak aap dubara se fb page ka name change nahi kar sakte hai to chaliye ab janate hai ki apne fb page name kaise change karte hai.
Facebook Page Name Change Kaise Kare
1 Sabse pehle apne Facebook app me account login kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Yahapar apne Facebook page name par click karke open kare.
4 Ab aap apne fb page me switch ho jayenge yahapar fir se top right corner me Facebook page profile icon par click kare.
5 Iske baad next interface me top right corner me Settings gear icon par click kare.
6 Ab next interface me top side me apne Facebook page name par click kare.
7 Iske baad next interface me page name box par click karke New facebook page name enter kare.
8 New facebook page name enter karne ke baad Review change option par click kare.
9 Ab jo next interface me apna Facebook password enter karke Save changes option par click kar dijiye.
Iske baad aapka facebook page name change ho jayega yahapar aapko refresh karna hai jiske baad changed fb page name aapko show ho jayega, iss tarah se easily aap apne facebook page ka name badal sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki fb page name change kaise karte hai agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.