FACEBOOKSOCIAL NETWORK

Facebook Group Kaise Banate Hai Hindi Tutorial

Dosto aaj ki post me hum aapko facebook group kaise banate hai, iski jaankari dene wale hai. Yeh to hum jaan hi chuke hai ki facebook account kaise banate hai, aur facebook page banakar paise kaise kamate hai, aur ye bhi jana ki agar kisi karan facebook ka password bhul gaye ho to facebook password reset kaise karte hai. Aur ab facebook par apna group kaise banate hai iske baare me janenge.

Facebook Group Kya Hai

Ek tarah se yeh group ek jaisi soch rakhne wale logo ki community hoti hai jaha par ve apne vichar aur savaal jawab rakhte hai.

Group me ek khas baat yeh hai ki koi bhi interested member yaha par membership le sakta hai, aur apni post bhi kar sakta hai.

Ek tarah se group ek platform hai, jaha par vo apne sawaal jawab rakh sakte hai, aur ek sath kai logo se jude reh sakte hai.

Facebook Group Aur Facebook Page Me Kya Difference Hai

  • FB group me members apne sawaal jawab post kar sakte hai, jabki facebook page ko keval admin hi update kar sakta hai.
  • Group ko hum private aur public dono tarah se set kar sakte hai jabki page ko nahi kar sakte.
  • Business ko promote karne ke liye facebook page ek bahut badhiya option hai, jabki fb group logo se jude rehkar apne sawal jawab ke solution ke liye use kar sakte hai.

 

Facebook Group Kaise Banate Hai

Facebook me group apna group kaise banaye, step by step janate hai.

??FB Account Permanently Delete Kaise Kare

Step 1

Sabse pehl facebook par click kare, aur apni id se login kare.

facebook group

facebook group

  1. Rightside me dropdown icon par click kare.
  2. Create group par click kare.

 

??Apne Facebook Account Ki Login Email Kaise Change Kare

Step 2

Next window me ek popup form open hoga, isse bhare.

4

  1. Group ka name bhare
  2. Kam se kam ek member add kare.
  3. Privacy setting chune.
    • Public par tick karne se koi bhi member group ko, group members ko aur ki post ko dekh sakta hai.
    • Closed pe tick karne se group ki activities show nahi hogi.
    • Secret par tick karne se membership ke bina koi bhi byakti aapke group ko nahi dekh sakta hai.
  4. Create button par click kare.

 

??Twitter Aur Facebook Ko Connect Kaise Kare

Step 3

Ab agle popup box me apne group ke liye icon choose kare.

3

  1. Group icon chune.
  2. OK button dabaye.

 

??Facebook Timeline Tags Ko Disable Kaise Kare

Step 4

OK button par click karte hi aapka facebook par group ban jayega.

5

Ab aapka group bankar taiyar ho chuka hai, aap chahe to Edit group settings par click karke other setting jaise profile aur cover photo, group discription aadi bhi set kar sakte hai.

Dosto facebook group ke baare me ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye, aur agar ye post acchi lagi ho to isse social media par share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

6 thoughts on “Facebook Group Kaise Banate Hai Hindi Tutorial

  • Grp m apne frend ko admin kaise banayen

    Reply
    • group me jaye aur member select kare, ab jisse admin banana hai uske samne setting icon par click karke make admin par click kar dijiye.

      Reply
  • Bohot hi bariah post sir. But, Kya hum group ko mobile se bana sakte Hai????

    Reply
    • ji ha aap mobile se bhi group bana sakte ho, iske liye top rightside me dropdown par click kijiye yaha aapko group create karne ka option mil jayega

      Reply
  • Sarika dhane

    Mere group ke post kalase timeline par nahi dikh rahe hai

    Reply
    • ek baar joined ground ke drop down par click karke follow or unfollow group check kar lijiye. agar unfollow group hai to isse follow set kar dijiye.

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.