Facebook ki Full Profile and Tagging Settings Sikhe
Facebook ki full profile and tagging settings ke sabhi features ki jankari iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur facebook ki profile and tagging settings ko apne according customize karke use karne ke bare me janana chahte hai to iss post ko end tak dhayan se jarur padhe.
Facebook me koi bhi user aapko tag kar sakta hai aapki kisi bhi post me tag add kar sakta hai, agar aap tagged posts ko public nahi karna chahte hai aur or kuch users se hide karna chahte hai ya kuch hi selected friends ko show karna chahte hai to niche diye easy steps ko follow kare.
Facebook ki Full Profile and Tagging Settings Sikhe
1 Sabse pehle Facebook app open kare.
2 Iske baad top right corner me 3 lines par click kare.
3 Ab bottom side me Settings and privacy option par click kare.
4 Iske baad Settings option par click kare.
5 Ab next interface me Audience and visibility section me Profile and tagging option par click kare.
6 Iske baad Profile and tagging setting ke alag alag features aapke samne aayenge to inhe kaise customize karte hai chaliye janate hai.
Viewing and sharing
Who can post on your profile?
- Friends option ko agar aap select karenge to aapke facebook friends aapki timeline me post kar sakte hai.
- Only me option ko select karne par aapke alawa koi bhi aapki profile me post nahi kar payega.
Who can see what others post on your profile?
- Everyone option agar selected hai to aapki profile me other users ki post ko koi bhi user dekh sakta hai.
- Friends of friends option select karne par aapke friends aur unke friends hi others users ki post ko dekh sakte hai.
- Friends option ko select karne par sirf aapke fb friends hi other users ki post dekh payenga.
- Friends except option par click karke aap apni friend list se jitne bhi friends ko select karenge sirf vo hi other users ki posts ko nahi dekh payenge.
- Specific friends option ko select karke jitne bhi friends ko aap select karenge sirf vo friends other users ki post dekh sakte hai.
- Only me option select karne par aapke alawa koi bhi user aapki profile me share other users ki post ko nahi dekh sakta hai.
Allow others to share your posts to their story?
- Yes option ko select karne par aapki facebook post ko koi bhi user apni story me share kar sakta hai.
- No option ko select kar lijiye agar aap other users ko rokna chahte hai apni post ko unki story me share karne ke liye.
Tagging
Who can see posts that you’re tagged in on your profile?
- Everyone option ko select karne par jin posts me aap tagged hai unhe publicly koi bhi user dekh sakte hai.
- Friends of friends option select karne par aapke fb friends aur unke friends hi dekh sakte hai.
- Friends option ko select karne par sirf aapke facebook friends hi dekh payenge.
- Friends except option ko select karke jitne bhi friends ko select karenge unn sabhi se aapko tag ki gayi post hide ho jayegi.
- Specific friends option ko select karke apni friendlist se jitne bhi friends ko select karenge sirf vo hi tagged post dekh sakte hai.
- Only me option ko select karne par sirf aap hi khud ko tag ki gayi post dekh sakte hai other users nahi.
When you’re tagged in a post, who do you want to add to the audience of the post if they can’t already see it?
- Friends option ko select karne par aapke facebook friends aapko tag ki gayi post ko dekh sakte hai agar kisi setting ki vajah se vo nahi dekh pa rahe hai.
- Only me option ko select karne par har condition me sirf aap hi tagged post ko dekh sakte hai.
Reviewing
Review tags that people add to your posts before the tags apear on Facebook?
Review tags on your posts option ko agar aap enable kar dete hai to aapki post me other user jo tags add karenge vo direct public nahi hoga balki vo tag review me aa jayega jisse aap manually approve karenge tabhi vo aapki profile me share hoga otherwise nahi.
Review what other people see on your profile
Review what other people see on your profile option par click karke aap apne facebook profile me pahuch jayenge jahase aap apni public information edit kar sakte hai aur unhe private kar sakte hai.
Review posts that you’re tagged in before the post appears on your profile?
Review posts you’re tagged in option ko agar aap enable kar dete hai to other user jin posts me aapko tag karenge vo direct aapki timeline par share nahi hogi balki review me chali jayegi aur jabtak aap manually tagged post ko approve nahi karte hai tab tak usse koi bhi user nahi dekh payega, aap chahte to tagged post ko delete bhi kar sakte hai.
I hope, ab aap facebook ki full profile and tagging settings ke bare me acchi tarah se samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe