X

FACEBOOK FRIEND KO HIDE KAISE KARE

Facebook aaj duniya bhar me top social networking site ban chuki hai, user traffic ki baat kare to jyadatar log isme active rehte hai, aur apne friends se picture, messages aur videos share karte hai.

Agar aapka facebook account public hai to har koi aapke account details dekh sakta hai, aapki friend list ko bhi dekh sakta hai, lekin kai log apni privacy ko banaye rakhna pasand karte hai, vo nahi chahte ki unke friends ke alawa koi or user unki friendlist aur share ki hui photos aur videos ko dekhe.

Aaj ki post me aapko jaankari di jayegi ki kaise privacy setting se apni friendlist ko hide karte hai. To chaliye step by step jaante hai ki kya aur kaise karna hai.

FACEBOOK FRIEND KO HIDE KAISE KARE

 

 

Step 1

Sabse pehle facebook.com me login kare aur apne profile par click kare.


1. Friends tab par click kare.
2. Setting icon par click kare.
3. Edit privacy me click kare.

Step 2

Ab ek pop-up window open hogi, usme niche diye steps follow kare.


1. Friend list ke samne dropdown option par click kare.
2. Agar friendlist hide karna hai to only me par click kare, baki option bhi chun sakte hai.

  • Public, sabhi friendlist dekh sakte hai.
  • Friends, list ko aap aur apke friends hi dekh sakenge.
  • Only Me, Sirf aap hi list ko dekh payenge.
3. Done ki button par click kare.
Jaise hi only me option set karenge, to aapki friendlist hide ho jayegi aur aapke alawa aur koi isse nahi dekh sakega.

Ye bhi padhe

Ab aap jaan chuke hai ki facebook me friendlist ko kaise chhupaye, agar phir bhi kisi tarah ki dikkat ho to aap comment karke puch sakte hai. Post acchi lagi ho to share karna na bhule.
Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)

  • bhai apko abhi tak 2 months hi hue he blog banaye hue to apne adsense se kaise approved kara liya

  • iske liye sabse pehle post content sahi hone chahiye aur dusri baat domain ka hona jaruri hai kyuki blog se jaldi website par adsense se approval milta hai aur iske saath aapke site par 10-15 post honi chahiye bus.....