Facebook Email Change Kaise Karte Hai
Facebook me hum apni primary login id change kar sakte hai, aur security reason se hume apni facebook login id ko change bhi karni chahiye, isliye aaj iss post me hum janenge ki facebook email change kaise karte hai.
Facebook ek popular social networking site hai, aur isme 500 million se jyada users active hai, aur inn users ke account ki security khas dhyan facebook acchi tarah se rakhta hai.
Lekin fir bhi aaye din kai facebook account hack ho jate hai, isiliye facebook security se related kuch steps hume khud bhi follow karne chahiye, aur inme se ek primary security step facebook email change karne ke bare me aaj hum janenge, to chaliye start karte hai.
Facebook Email Change Kaise Karte Hai / How to Change Facebook Login Id
??Facebook Group Kaise Banate Hai
Step 1
Sabse pehle apne facebook account me login kare.
- Top rightside me dropdown icon par click kare.
- Settings me click kare.
??Friendlist Ko Hide Kaise Kare Facebook Me
Step 2
Ab aapke facebook ka setting option open hoga.
- General me jaye.
- Contact ke samne edit link par click kare.
??Friends Ko Block Unblock Kaise Kare Facebook Par
Step 3
Agle page me“add another email address or mobile number” par click kare.
??Facebook Page Kaise Banate Hai
Step 4
Ab ek popup window open hogi, isme apni new email id enter kare.
- New email address enter kare.
- Add ke button par click kare.
??Facebook Trick: Continue Reading Button Kaise Add Kare
Step 5
Iske baad password set karne ka ek aur popup window khulegi.
- Password enter kare.
- Submit button par click kare.
??Facebook Aur Twitter Ko Connect Kaise Kare
Step 6
Ab facebook aapke new email inbox me ek verification code send karega, email inbox me jaye aur verification email ko open kare aur confirm button par click dijiye.
??Facebook Photo Par 5 Minute Me 5000 Likes Kaise Badhaye
Step 7
Confirm button par click karte hi aap facebook account me redirect ho jayenge.
- Yaha par aapki new email id show hogi, chahe to tick box me tick karke isse primary contact bana sakte hai.
- Save changes ke button par click kare.
??Facebook Me Friend Request Disable Kaise Kare
Step 8
Iske baad password re-enter karne ka ek or popup window open hogi.
- Password re-enter kare.
- Submit button par click kare.
Lijiye aapka facebook email id login change ho gayi hai, ab ek baar facebook signout karke dubara new email id se login karke check kar lijiye.
Facebook Me Hinglish Help Page Ko Like Karne Ke Liye Click Kare
Video Dekhe
Dosto ab hum jaan gaye hai ki facebook email change kaise kiya jata hai, agar koi dikkat aaye to aap comment karke puch sakte hai, aur agar ye post acchi lagi ho to isse social network par apne dosto ke sath share karna na bhule.
bhai but wo meri ek fb i.d pr apne number chang kre the fir logout kari thi to dobara login nahi ho rhi hi
change kiye hue number se login kijiye
aap bhut acha likhte ho usefull tips sabhi ke liye
mere blog ko bhi dekhkar btao kaise he me blog ka link de rha hu
HindiMeinternet.Com
thanks for compliment. moti ji maine aapki blog ko dekha aapka writing skill bhi kafi accha hai. agar aap wordpress par move karenge to kafi traffic increase kar sakte hai. aur apne blog par contact us form bhi publish kijiye.
Bhai Mera number oho gaya or email I’d register nahi hai or Mera fb login ho nahi raha hai to kaise kya kre
apne kisi facebook friend ki friendlist me apna fb profile search kijiye aur usse open kar lijiye, ab url me facebook.com/ ke baad ka user id copy kare aur facebook user id me paste kare aur just uske baad @facebook.com dalkar apna password enter kijiye, hope aapka account open ho jayega.
Sir mai apna fb password bhul gya hu jb mai forgot password p click kr rha hu to option aa rha h mera email access nai ho rha h email m mai apna mobile nmbr dala hu sir plz hlep me kaise id open kru apni plzz help me sir
Sir mera ye id hai iska number block ho chuka hai aur iska password b mujh se bhok gaya isko kaise tek kare
agar aap apni id bhul gaye hai to apne facebook friends se apni id pata kar sakte ho. aur uske baad facebook me khud uska password change kare aur login karne ke baad general settings me email ya phone number jisse aapne account banaya hai usse change kare aur save setting karke ke baad logout kar dijiye. ab apne kisi friends ko khe aapko uss id par friends request send kare. isse jaldi hi aapka account unblock ho jayega.
Sir kisi n meri id ka email or password changed kr diye or usmw url/ link bhi nhi h sir vo kaise id khulegi ki mai usko dubara s chala saku
iske liye facebook login page par jaye aur forgot your account ya can’t login link par click kar form fill kare, hope aapka kaam ho jayega
Sir kuch nhi ho rha h usme kyoki email ka hi kuch pta nhi chal rha h or jo phle dala tha email usse khul nhi rhi h ….
agar aapne apni fb id me phone no add kiya hai to apne friends se apni id no. le lijiye uske baad can’t login ke se form fill kare aur otp ko phone par mangaye. agar email aur password ke sath usne phone bhi change kar diya hai to kuch nahi ho sakta
Id mobile number s hi bni thi or usne num. Hi change kr diya to ab sb change kr diya kuch ho ske to ap btao
Sir mera FB acount Log in tha but maine jab Google ka password change kiya tha to mera FB account open hi nahi ho raha he vaha 2account he ek numbar par aur dusra email par cod send hi nahi ho raha he kya karu sir plz help me plz
iske liye fb id open kijiye aur forgot password par click karke form fill kijiye, hope aapka kaam ho jayega.
bhai conferm email code kesy aye ga
aap jo new email facebook me add kar rahe hai uspar thodi hi der me automatically confirmation code aayega, uske inbox me jaye aur confirm kar dijiye.
very nice post ramesh bhai
Tnanks
Thanks
sir muja id ka psword bhul gi khas on karo
Forgot password par click kar instruction follow kijiye
Sir mujhe ye nahi pata h ki mera emai id kya h aur password
aap email id facebook account setting me jakar check kar sakte hai
I’m not that much of an internet reader, but to be honest, your
site is really nice, and it is up to date keep it up! I’ll go ahead and bookmark your website to come back in the future. All the best
I have written How to Change Email Address On Facebook in English, pls check it out: How to Change Email Address On Facebook …