Facebook business manager setup kaise kare iss post me hum janenge so agar aap facebook or instagram user hai aur inn dono hi platforms par aap apne business ko promote karne ke liye ads run karte hai, business marketing karte hai to aapko facebook business manager ko setup jarur karna chahiye.
Facebook business manager jo ki ab meta business manager ke name se jana jata hai ek free platform hai jiske help se aap facebook or instagram par apne business ki advertisement aur marketing activities ko ek jagah se manage kar sakte hai, ek hi jagah se sabhi advertising aur marketing activities ko control kar sakte hai.
Facebook Business Manager Key Features
- Centralized management ke through aap apne multiple facebook pages or account ko ek hi jagah se manage kar sakte hai, instagram accounts aur products catalogs ko ek hi place yani ki single dashboard me hi apne accorinding manage kar sakte hai.
- Ads management instagram aur facebook me aapke ads ki performance ko create karne, track karne aur manage karne ke liye tools provide karta hai.
- User access control ke through aap apni logins details ko share kiye bina apni team members ko alag alag access de sakte hai unhe control kar sakte hai.
- Personal and business activity separation ki help se aap apni business activities ko apne personal facebook profile se alag rakh sakte hai, aur galat place me post karne se bach sakte hai.
Facebook Business Manager Setup Kaise Kare
Facebook business manager yani ki Meta business manager setup karna bahu hi simple aur easy hai, jo ki aap niche diye gaye kuch easy steps ko follow karke setup kar sakte hai.
1 Sabse pehle Facebook business manager account create kare.
- Fb business manager website open kare.
- New account create kare ya fir apne existing facebook or instagram account se login kare.
- Create account option par click kare.
- Apna Business name aur email address enter kare.
- Iske baad Email confirmation kare.
2 Iske baad apne business ki detail enter kare.
- Business address enter kare.
- Business phone number enter kare.
- Other business detail enter kare,
3 Ab apne pages ads account add kare.
- Meta business manager dashboard me jaye.
- Iske baad Business settings option par click kare.
- Ab pages or ad accounts section me apne fb pages ya ads account ko ad kare, other new ads account or page create kare.
- Iske baad People section me apne team members ko invite karke roles assign kare.
- Ab partners section me uss agency or vendor ko add kare jinke sath aap kaam kar rahe hai otherwise isse skip kare.
4 Iske baad Payment method setup complete kare.
- Payment settings open kare.
- Credit card or paypal etc payment method add kare.
In sabhi steps ko step by step follow karke aap easily apna metabusinessmanger account create kar sakte hai aur apne business ko promote kar sakte hai, ek hi dashboard se apni sabhi ads aur marketing activitieis ko manage kar sakte hai.