X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Boost Post Kya Hai Aur Facebook Me Post Promote Kaise Kare

Hello friends, facebook boost post kya hai aur facebook me post ko boost kaise karte hai. Aaj ke iss article me hum janenge. Facebook ek top social networking site hai ye to aap acchi tarah se janate honge. Aur agar aapne facebook page create kiya hai. Aur regular page me new post update karte hai, to aapko apni facebook post ko boost jarur karna chahiye. Facebook post boost karne me aapki jeb se thode paise jarur kharch honge. But aisa karne se aap apni post par likes aur views ko increase kar sakte hai.

Facebook Boost Post Kya Hai

Facebook boost post ek tarah se aapki post ke liye promotion hai. Iski help se aap facebook par apni kisi bhi post ko promote kar sakte ho. Lekin iske liye aapko thoda bahut apni jeb se kharch karna padega. Apne budget ke according aap apni facebook post ko target kar sakte hai. Facebook post ko boost karne ke liye aap apne hisab se 1 day, 1 week, 2 week or jabtak aap chahe, period set kar sakte hai. Aur apni facebook boost post cost select kar sakte hai.

Iske sath hi boost location aur kis age group ke log aapki post ko dekh sakte hai. Ye sab setting aap apni post ko boost karne ke sath kar sakte hai. Sabhi settings karne ke baad aapko aapko payment karna padega. payment ke liye aap apne debit card, credit card, or net banking ka use kar sakte hai easily.

Facebook post promote or boost karne se aap apni post ko jyada se jyada logo tak pahucha sakte hai. Aur apni post me likes aur views increase karwa sakte ho. Boosted post facebook timeline me top me show hoti hai, jisse likes aur views fast tarike se badhte hai. Facebook advertisement ka ye ek bahut hi badhiya option hai, jiski help se log apne business ko promote kar sakte hai.

Facebook Boost Post Kya Hai Aur Facebook Me Post Promote Kaise Kare

Aapne facebook page me upload ki gayi apni post ko dekha hoga. Sath hi post ke bottom right side me boost post ka blue button bhi jarur dekha hoga. Issi button ki help se aap apni facebook post ko promote kar sakte hai. To chaliye ab step by step janate hai ki facebook sponsored posts yani ki facebook post boost kaise karte hai.

 

Step 1

Sabse pehle facebook me login kare aur apne facebook page me jaye. Ab jiss facebook post ko promote karna chahte hai, uske bottom right side me boost post ke button par click kare.

 

 

Step 2

Ab ek popup window open hogi. Isme location, age limit, post boost time period aur payment method set kare. Facebook page boost ke liye budget aur duration select karne ke baad boost button par click kare.

 

Step 3

Boost button par click karte hi next window me payment method select karna hai. Isme credit or debit card, netbanking aur paytm ka option available hai. Aapko jo payment method ke through payment karni hai usse select kare. Aur apne card ki detail enter karne ke baad continue ki button par click kare.

 

Lijiye ab aapki facebook post boost ki sari settings complete ho chuki hai. Issi tarike se aap apni facebook page par publish ki hui kisi bhi post ko boost kar sakte hai. Aur apni post ko facebook platform par jyada se jyada logo ke beech promote kar sakte hai.

Hinglish Help Facebook Page Ko Like Karne Ke Liye Yaha Click Kare

Facebook boost post kaise karte hai, i hope aap samajh gaye honge. Facebook post ko promote karne se related aapka koi bhi saval ho to comment karke puch sakte ho. Agar agar ye post helpful lagi ho to isse social media me share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (32)

    • blog me contact us, about us, privacy policy n term & conditions pages banakar puslish kijiye

  • agar hum apni post ko boost krte hai or boost complete ho jati h to kya hame paise milenge ya hame paise dene honge

    • Boost aapki post ki advertisememt hai jiske liye aapko paise kharch karne hote hai.

      • Apni Kisi post ko boost karne ke liye Apko pesa pay karna hai. Minimum 50 to 100 rs. Se kar sakte ho

    • aapne jis post ko boost kiya hoga vo 1000 logo tak ne dekh liya hoga. thats it

  • Hello Sir,
    Apne jo details di hai vo to sbb shi
    apslutly write... Mgr main jbb apni post
    boost krta hun to patym wallet se krta hun paytm mein apna num fill krta hun to uske baad usme log in ka option ata hai to uss log in mein kya fill krna hai M very confused plss help me...

    • mobile number enter karne ke baad aapke mobile par ek otp code bheja jayega aapko next login option me otp number enter karna hai aur login in kar dena hai, hope aapka kaam ho jayega

  • To sir ji
    agr page creat karne k baad boost karte h by payment mathod fir page banane se benfitt kb kaise hoga....plz

    • Isse aapke fb page ki likes increase hogi. Uske baad aap page ko sale kar sakte h. Page par jitne likes honge aapki earning utni jyada hogi

  • Plz help me
    Name Afsar khan
    My blog name . Shayarafsarraipuri. blogspot.com. mujhe is blog menten karna hai . Aap kar doge
    My no. 9170285655

    • Better hoga ki sap pehle domain hosting purchase kijiye aur wordpress par blog migrate kijiye uske baad isse maintain kijiye.

  • sir maine apne fb page par 2 post boost karwai. dono boost ho gai or 2000 se 2500 view bhee aa gaye. maine master card se payment kar diya. lekin ab massge aa raha hay ke your payment failed.

    '' we are unable to charge your ad account using Masater card *0000. Please add a new payment mathod or nontact your bank to fix this issue and try charging it again.''

    bank se contact kiya to wo card ok bata rehe hay. or bol rehe hay ke security reasean se is mathed say payment nahi ho payga. ab hum apna payment mathed change karna chatee hay to wo kisay hoga?

    • payment method change karne ke liye facebook setting > payment > ads billing > payment setting > add payment settings me jayiye. yahapar credit aur net banking dono option me se choose kar sakte hai

      • sir ye kar ke dekh liya hay par net banking ka option nahi aa raha hay.
        credit card wala mathed remove bhee nahi ho raha.
        facebook ka koi halp line number hay kya?

        • payment method facebook setting > payment > account setting me jakar remove kar sakte hai

  • Fb. Page ki post ko boost kar liya or jitne log hmaari post ko show karte hain. To hme kuch milega. Matlab pege se post send kar ham kuch rupaye kama sakte hain kya.

    • Boost hone se post view badhte hai aur no visitor page view karte hai vo agar post me ads par click karenge to paise milte hai.

      • Hum apni post ko jitni bar boost karenge utni bar paise dene hote hai..
        Agar online business ko boost kare to bar bar pay karna hoga .kyuki bahut se products hote hai to har din new dalna hota hai.

        • ji ha lekin aap ek post boost karne ke liye campaign chala sakte hai aur kuch din, kuch hafte ya mahino tak campaign me ek sath paisa laga sakte hai, iss tarah se aap alag alag products par bhi campaign run kar sakte hai.

  • Mere fb page par 5K members hain... Agar main apni koi post boost karti hun toh kya meri post ko wo person bhi dekh sakega jo mere page ka member nhi hai...??
    Ya sirf mere page par jo members add hain wahi post ko dekh sakte hai..??

  • mene apni facebook post ko boost kra hai 280 rupees bhi cut gye hai but kuch hua nhi hai plzz reply nd hlp

    • thoda wait kijiye iss process me 15-30 minutes lag sakte hai agar first time hai to thoda aur time bhi lag sakta hai