How to view your archived stories on facebook yani ki Facebook ki archive story kaise dekhe iss post me mein aapko bataunga, agar aap facebook user hai aur facebook par aksar apni story post karte hai to ye post aapke liye kafi useful ho sakti hai.
Facebook par story share karne ke 24 hours tak aapke friends aapki story dekh sakte hai aur 24 hours ke baad aapki story disappear ho jati hai aise me agar aapne facebook settings me save to archive option ko enable kiya hoga to disappear hone ke baad story archive section me save ho jati hai.
Isliye agar aapko facebook par shared apni sabhi archived stories dekhni hai to iske liye sabse pehle aapko Facebook settings > story settings > story archive option me save to archive option ko enable kar dena hai jiske baad aap niche diye steps ke through apni archived stories dekh sakte hai.
Facebook Ki Archive Story Kaise Dekhe – How to View Your Archived Stories on Facebook
1 Sabse pehle Facebook open kare.
2 Ab top right corner me 3 lines par click kare.
3 Iske baad top side me apne Profile name par click kare.
4 Profile page me add to story button ke samne 3 dots par click kare.
5 Ab profile settings me Archive option par click kare.
6 Iske baad next interface me top side me Story archive option par click kare.
Story archive option par click karte hi aap sabhi archived stories aapke samne show ho jayenge, ab inme se aap kisi bhi story ko open karke usse delete kar sakte hai, mobile gallery me save kar sakte hai, dubara se share kar sakte hai or story highlights me bhi add kar sakte hai.
I hope, aap samajh gaye honge ki facebook ki archived stories ko kaise check karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.