Facebook archived post ko restore kaise kare iss post me hum janenge so agar aap nahi jante hai ki facebook me archive ki gayi hidden photos aur videos ko unhide kaise karte hai to iss post me bataye easy steps ke through aap easily apni archived posts ko restore kar sakte hai isliye post ko end tak dhyan se jarur padhe.
Agar aap facebook par share ki gayi apni kisi post ko apne profile se hide karna chahte hai to uss perticular post ke top right corner me 3 horizontal dots par click karke aur fir move to archive option par click karke easily post ko publicly hide kar sakte hai ab agar wapas archive post ko unarchive karna hai aur nahi jante ki kaise karte hai to niche diye easy steps follow kare.
Facebook Archived Post Ko Restore Kaise Kare
1 Sabse pehle Facebook open kare.
2 Iske baad top right corner me 3 lines par click kare.
3 Ab apne profile name par click karke Profile page open kare.
4 Ab profile page me profile name ke just niche 3 horizontal dots par click kare.
5 Iske baad next interface me Archive option par click kare.
6 Ab aapki sabhi archived posts aapke samne show ho jayengi to yahapar uss Post ko select kare jisse restore karna hai.
7 Select karte hi bottom side se 2 options highlight ho jayenge.
- Recycle bin option par click karke archive section se post remove kar sakte hai.
- Restore option par click kar dijiye agar post wapas unarchive karni hai.
Iss tarah se aap apne facebook account par apni kisi bhi archived post photos aur videos ko restore kar sakte hai aur unhide karke apne profile me fir se public kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki facebook par apni archived posts ko unarchive kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe
View Comments (1)
Fantastic Info in This Blog Thanks FOr Sharing THis