X

Facebook Account Delete Kaise Karte Hai Permanently

Dosto! pichli post me hum jan chuke hai ki apne facebook account ko deactivate kaise karte hai. Aur aaj hum janenge ki hamesha ke liye apna facebook account delete kaise kare.

Facebook ek most popular social networking site hai. Aur per day iss platform par users ki sankhya badhti jaa rahi hai. Aur lagbhag har vyakti jo internet use karta hai, vo facebook se juda hua hai.

Lekin kuch log aise bhi hai jo kisi na kisi disturbance aur kisi problem ke karan, vajah chahe jo bhi ho. Apna facebook account hamesha ke liye delete kar dena chahte hai.

Aur facebook account ko permanently delete kaise karte hai iske liye niche diye easy steps ko follow kare.

Facebook Account Delete Kaise Kare Permanently / How to Delete Facebook Account Permanently

 

Step 1

Sabse pehle facebook account me login kare, aur Delete Facebook Account ke link me jaye.

Ab Delete my account button par click kare.

 

Step 2

Ab ek popup open hoga.

  1. Apna password bhare.
  2. Upar diya captcha code bhare.
  3. OK button par click kare.

 

Step 3

Iske baad ek aur popup open hoga, isme OK button par click kar dijiye.

Ab aapka facebook account delete ho chuka hai aur 14 dino ke baad ye permanently delete ho jayega.

Agar 14 dino ke under apna account fir se wapas activate karna chahte hai to facebook me login kare. Aur Cancel deletion button par click kar dijiye.

 

 

Dosto facebook account delete kaise karte hai ab aap jaan gaye honge. Phir bhi aapka koi saval ho to apne comment ke through humese sidhe puch sakte hai. Aur agar ye jaankari aapko acchi lagi ho. To isse social media par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (4)

  • Hii me sagar
    Mera ek friend he jo vo muje kahe rahaa he ki mera accountdilet karanaa he but usako nahi aata
    Agar mere mobail se usake account ko dilet karu to koi problum to nahi aati naa
    Kyu ki mere kai frinds log bole he ki dusaro ka account dilet mat karrr

    • agar aapka friend khud apni id delete karwana chahta hai to aap kisi bhi computer ya mobile par kar sakte hai. isse koi problem nhi hogi