Youtube Videos Me Custom Thumbnail Enable Kaise Kare
Youtube par video thumbnail hi aapki video ka first look hota hai jisse viewers attract hote hai. Custome thumbnail youtube video ke liye bahut jaruri hota hai. Youtube videos me custom thumbnail use karke aap video ke views increase kar sakte hai. Lekin agar aapke youtube channel par custom thumbnail option enable nahi hai. To aap apne video ke liye koi bhi attractive thumbnail khud banakar set nahi kar sakte hai. Aur youtube me video upload karte time majbooran aapko auto generated 3 thumbnail me se kisi ek ko choose karna padega apne video thumbnail add karne ke liye.
Jab bhi hum koi video youtube par upload karte hai to video se related thumbnails automatically create ho jate hai. Aur agar aapke channel par custom thumbnail enable nahi hai. To aapko inn auto generated thumbnails ko hi apni video me use karna padta hai. Jo ki itne clear bhi nahi hote hai aur na hum inko customize kar sakte hai.
Agar aapne new youtube channel create kiya hai to aapke channel par sabhi features enable nahi hote hai. Youtube ke all feature use karne ke liye aapko pehle apne channel ko verify karna hota hai. Tabhi aap apne channel par youtube custom thumbnail ke sath sath other feature bhi enable kar sakte ho.
Agar aapke channe par youtube custome thumbnail enable nahi hai. To video manager me channel section me jakar aap isse enable kar sakte hai. Lekin agar yahapar bhi enable ka option available nahi ho, jaisa aap niche image me dekh sakte hai. Custom thumbnail not enable hai aur enable karne ke liye koi option bhi nahi hai. To iske liye niche bataye easy steps ko follow kare.
Youtube Videos Me Custom Thumbnail Enable Kaise Kare
Custom youtube thumbnail enable hone ke baad aap kisi bhi software se video ke liye thumbnail create kar sakte hai. Youtube thumbnail banane ke liye aap photoshop ya snagit software ka bhi use kar sakte hai. Ya other youtube thumbnail maker ka use kar sakte hai. To chaliye ab step by step janate hai ki youtube videos me custom thumbnail kaise start karte hai.
Step 1
Sabse pehle apne youtube ki official website me jaye aur apna youtube channel open kare.
- Top right side me channel profile image par click kare.
- Youtube settings gear icon par click kare.
- Youtube Videos Me End Screen Annotations Kaise Add Kare
- Without Copyright Kisi Dustre Ka Video Kaise Use Kare
Step 2
Next window me aap youtube channel ke account settings section me pahuch jayenge. Yahapar view additional features link par click kare.
- Kisi Bhi Popular Youtube Video Ke Tags Ko Kaise Dekhe
- Youtube Videos Par 10000 Views Kaise Badhaye Jaldi Se
Step 3
Ab jo next page open hoga isme youtube channel ko phone no. se verify karna hai. Iske liye channel name ke thik niche verify button par click kare.
- Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare
- Youtube Ke All Data Ko Another Channel Par Transfer Kaise Kare
Step 4
Agli window me aapke mobile number par otp send karne ka option aayega. Yahapar aap call ya sms se apne mobile number par otp mangwa sakte hai.
- Select your country dropdown par click kar apni country (india) select kare.
- Verification code receive karne ke liye option choose kare. Code aap call ya sms kisi bhi tarah se mangwa sakte ho.
- Apna 10 digits ka mobile number enter kare.
- Submit button par click kar dijiye.
Step 5
Submit buitton par click karte hi next page me aapko verification code enter karna hai. Aapke mobile number par ek verification code bheja jayega, code ko yaha enter kare.
- Mobile me aaya verification code enter kare.
- Submit button par click kare.
Step 6
Ab ek popup window open hogi, yahapar aap dekh sakte hai ki youtube account verify ho chuka hai. Isme continue button par click kar dijiye.
Lijiye continue button par click karte hi aapke youtube channel ki verification complete ho gayi hai. Iski ke sath aapke youtube channel par custom thumbnail enable ho chuka hai. Ab aap kisi bhi video me custom thumbnail ko easily add kar sakte hai. Aur apne youtube videos ko aur bhi jyada attrative bana sakte hai.
Video Dekhe
I hope ab aapko pata chal gaya hoga ki youtube videos par custom thumbnail kaise enable karte hai. Iss post se related aapka koi doubt ho to comment jarur kare aur iss jaankari ko share bhi jarur kare.
Nice post sir…
thnx
nhi hua sir
ek baar steps ko dubara se process kijiye.
Thanks
Wlcm
Facebook setting reset kaise mare…
vaise to iska koi proper setting nahi hai but aap apne account ko deactivate karke reactivate kare to settings reset ho jayegi.
Sir channel verify karna ka baad bhi thumbnail nhi lag raha