WordPress Me Two Factor Authentication Kaise On Kare
WordPress me two factor authentication kaise on kare iss post me hum janenge so agar aap ek blogger hai aur wordpress platform par aapki website hai, to aapko apni wordpress website me two factor authentication setting ko enable jarur karna chahiye.
Apni wordpress site me two factor authentication security enable karke aap apni site ki security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai, website ko hack hone se bacha sakte hai, isliye apni wordpress site me two factor authentication security method ko jarur add kare.
2 factor authentication on karne ke baad aap jab bhi username aur password enter karke apni wordpress website me login karenge, 2 factor authentication code enter karne ka option aayega aur sath hi aapki email id ya phone number par ek security code aayega.
Fir aap received OTP code enter karenge tabhi aapki wordpress site login hogi otherwose jab tak 2 step authentication code enter nahi karte tab tak aap apne wordpress blog me login nahi kar payenge.
Aise me koi bhi aapki wordpress site ko hack nahi kar payega kyuki 2 factor authentication code aapki email id or phone number par receive hoga, isliye apni site ki security ko increase karne ke liye niche diye steps follow karke two factor authentication option ko turn on jarur kare.
WordPress Me Two Factor Authentication Kaise On Kare
1 Sabse pehle apne WordPress dashboard me login kare.
2 Iske baad Plugins option par click karke Add new plugins option ko select kare.
3 Ab add new plugin section me Search box me Two factor likhkar search kare.
4 Iske baad search result page me Two factor plugin ko Install karke Activate Kare.
5 Ab wordpress dashboard ke leftside menu me Users option par click karke Profile option ko select kare.
6 Ab profile section me Two factor options add ho jayega yahapar 2 tarike se aap two factor authentication security enable kar sakte hai.
- First Method me Email option ko select kare aur fir bottom side me Update profile option par click kar dijiye.
- Second Method me pehle aapko apne phone me Google playstore open karke google authenticator app install kake setup kare.
- Ab google authenticator app me Plus (+) icon par click karke Scan qr option par click kare.
- Iske baad Authenticator app option ko select karke yahapar diye QR code ko scan karke bottom side me Update profile option par click kar dijiye.
Iske baad aapke wordpress blog me two factor authentication option enable ho jayega.
Inn dono methods me se kisi ek method ko select karne ke baad aapko wordpress se logout kar dena hai aur fir se apne username aur password enter karke wordpress dashboard me login karenge to two factor authentication code enter karne ka option aayega.
Email option ko select karke update profile kiya hai to aapki email id par ek code aayega uss code ko yahapar enter karenge to aap wordpress me login ho jayenge.
Authenticator app option ko select karke update profile kiya hai to aapki google authenticator app me generated code ko yahapar enter karenge to aap wordpress me login ho jayenge.
Iss tarah se aap apne wordpress blog ki security ko aur bhi jyada increase kar sakte hai, ek extra security layer apni wordpress site me add kar sakte hai,
I hope, ab aap samajh gaye honge ki wordpress me two factor authentication kaise enable karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.