Twitter two par factor authentication code enable kaise kare aaj iss post me hum janenge. Agar aap apne twitter account ki security ko aur bhi jyada strong banana chahte hai to aapko two factor authentication code ko enable jarur karna chahiye.
Twitter par two factor authentication code enable karne ke baad koi bhi aapke twitter account ko hack nahi kar payega. Kyuki twitter login karne ke liye usse two step verification code ki jarurat hogi jo ki aapke mobile par send kiya jayega.
Isliye aapke twitter account ko koi other user open nahi kar sakta hai. Agar aapne abhi tak apne twitter account par two step authentication code ko enable nahi kiya hai to niche diye steps ko follow karke enable kar sakte hai.
Yahapar hum twitter app me two factor authentication enable karne ke bare me janenge ki kaise aap apne android smart phone par twitter app me two step verification code ko start kar sakte hai, to chaliye shuru karte hai.
Twitter par Two Factor Authentication Enable Kaise Kare
Apne twitter account par two factor authentication start karna bahut hi easy hai. Agar aap nahi janate ki twitter two factor authentication ko kaise enable karte hai to niche diye steps ko sahi se follow kare.
1 Sabse pehle twitter account me login kare.
2 Top left side me apne Profile icon par click kare.
3 Ab jo option open honge isme Settings and privacy par click kare.
4 Next interface me Account option par click kare.
5 Iske baad jo page open hoga isme Security option par click kare.
6 Ab agle page me Two factor authentication ke option par click kare.
7 Next interface me 3 options aayenge verification code enable karne ke liye. To yahapar apne mobile par verification code pane ke liye Text message ke option par click kare.
8 Ab next page me aapke mobile par code send karne ke liye pucha jayega to yahapar aapko Get started ke button par click karna hai.
9 Iske baad aapko apne twitter account ka Password enter karna hai.
10 Password verify ke baad phone number verify karne ke liye code send karne ke liye puch jayega to yahapar aapko Send code ke button par click karna hai.
11 Ab next page me code enter karne ke option aayega aur aapke phone me ek code bhi bheja jayega, code enter kare aur Next button par click kare.
12 Next button par click karte hi aapke twitter account par two factor authentication chalu ho jayega. Aur aapke twitter account ki safety ke liye aapko ek Backup code bhi milega, jisse aapko kahi par Save karke rakh lena hai.
Kisi condition me backup code receive nahi hua to aap uss backup code ka use twitter account open karne ke liye kar sakte hai.
I hope aapko twitter par two factor authentication code enable karne ki ye jankari helpful lagi hogi. Agar haa to isse apne jyada se jyada friends ke sath share jarur kare.