GOOGLE

Google Chrome Browser Me Hinglish Spelling Check Option Ko Enable Kaise Kare

Google chrome browser me hinglish spelling check option ko enable kaise karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap online google ya google search me kuch bhi english me type karenge aur usme kisi word ki spelling galat hai to aap uss word ko turant dekh sakte hai. Kyuki uss wrong spell word ke niche red color ki underline aa jati hai. Fir aap uss wrong red mark shabd ko right click karke correction kar sakte hai.

Thik aisa hi hindi type karte time bhi hota hai google wrong word ko detect karke usse red mark kar deta hai. But agar hinglish (hindi aur english ka mixture) type karenge to google ko usse detect karne me mushkil hoti hai. Isliye agar aap online hinglish writing me spelling mistakes ko catch karna chahte hai to google chrome browser me hinglish spell checking option ko enable karke easily kar sakte hai.

Google Chrome Browser Me Hinglish Spelling Check Option Ko Enable Kaise Kare

Google chrome browser me hinglish spell checking function ko on karna bahut hi simple, agar aap nahi janate hai to niche diye gaye easy steps ko follow kare.

1 Sabse pehle Google Chrome browser open kare.

2 Ab top right side me 3 dots par click kare.

3 Iske baad Settings par click kare.

4 Ab jo page open hoga isme left side menu me Advanced dropdown menu par click kare.

5 Iske kuch or option aayenge to yahapar Language ke option par click kare.

6 Ab language section me Spell check ke samne Toggle button ko on kar dijiye.

7 Iske baad kuch or option open honge to yahapar Enhanced spell check ke tick box par tick kar dijiye.

Lijiye ab aapke chrome browser me spell checker tool enable ho jayega ab aap google browser ya search me jo kuch bhi hinglish me type karenge uski spelling ko easily check kar sakte hai.

Agar aapki hinglish wright me kuch bhi wrong word hua to usspar red underline aa jayegi jo ki aapki nazar me aasani se aa jayega aur ab aap uss word ko select kar right click karke correction kar sakte hai.

Agar aap ek blogger hai to google chrome ke iss tool ka use aap apne blog post ki spelling check karne ke liye bhi kar sakte hai. Aur blogpost spelling ko correct karne ke baad usse publish kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki google chrome browser me hinglish spelling check option ko enable kaise karte hai. Aur iss option ko enable karne ke baad hinglish spell mistake ko kaise check kar sakte hai. Agar aapko ye jankari helpful lage to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.