INSTAGRAM

Instagram Ki Deleted Posts Restore Kaise Kare

Instagram ki deleted posts restore kaise kare iss post me hum janenge so agar aap instagram user hai aur instagram par galti se aapki post photos or videos delete ho gayi hai to iss post me bataye easy steps ko follow karke aap easily apni deleted instagram post recover kar sakte hai.

Apne users ko instagram ek aisa feature deta hai jiske through kisi bhi delete huyi post ko 30 days ke ander restore kiya ja sakta hai iss beech aap galti se remove ho gayi insta posts ko wapas recover kar sakte hai agar aap iske bare me nahi janate to chaliye step by step janate hai.

Instagram Ki Deleted Posts Restore Kaise Kare

1 Sabse pehle Instagram open kare.

2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab apne profile page me top right corner me 3 lines par click kare.

4 Iske baad kuch options aayenge to inme Your activity option par click kare.

5 Ab next interface me kuch aur options aayenge to inme Recently deleted option par click kare.

6 Iske baad aapki sabhi deleted posts aapke samne aa jayengi to inme uss Post ko open kare jise restore karna hai.

7 Post open karne ke baad top right corner me 3 vertical dots par click kare.

8 Ab bottom side se ek popup open hoga to isme.

  • Delete option par click karke iss post ko permanently remove kar sakte hai.
  • Restore option par click kare agar post wapas recover karna chahte hai.

9 Iske baad ek popup open hoga to isme finally Restore option par click kar dijiye.

Restore option par click karte hi aapki deleted instagram post restore ho jayegi, iss tarah se aap apni sabhi deleted insta posts, photos or videos ko recover kar sakte hai.

Thik issi prakar se aap yahapar story tab par click karke aur fir delete instagram story open karke apni delete ho gayi story ko bhi wapas restore kar sakte hai.

Galti se delete ho gayi sabhi instagram posts deleted insta photos or videos ya fir delete instagram story ko ko aap delete hone ke 30 days ke ander hi recover kar sakte hai.

Agar 30 dino ke ander deleted instagram post or stories ko aapne recover nahi kiya to 30 days ke baad sabhi deleted posts permanently delete ho jayengi jinhe aap kabhi restore nahi kar sakte hai.

I hope ab aap deleted instagram posts recovery method ke bare me samajh gaye honge, agar post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Instagram Ki Deleted Posts Restore Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.