Blog or website ke liye free me mobile app kaise banaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap blogging karte hai aur chahte hai ki aapke blog ki traffic aur jyada increase ho to aapko apni website ko mobile friendly banana hoga ya fir mobile app banakar usse publish karna hoga.
Aajkal smart phone users ki sankhya din par din badhti jaa rahi hai aise me agar hum apne blog ya youtube channel ke liye koi phone application taiyar kar le to humari site ki traffic par kafi accha asar padega aur traffic rank high ho jayegi.
Ab aap soch rahe honge ki website ke liye mobile app banane me kafi paise kharch karna padega. To mein aapko bata du ki aap galat soch rahe hai aap without app development software k online free me mobile app create kar sakte hai.
Agar aap internet par search karenge to bahut si aisi websites mil jayengi jaha se aap apne website ke liye free me mobile app bana sakte hai. But me aapko ek online site ke bare me batane ja raha hu. Jiski help se aap android app design sikhe bina bhi online free me mobile apps bana sakte hai.
Mobile App Kaise Banaye – Without App Development Software
Blog or website ke liye mobile app create karna bahut hi simple aur easy hai. Bina app development software ke ya fir mobile app design sikhe bina aap easily mobile app bana sakte hai. Iske liye aapke paas computer, laptop ya android mobile phone hona chahiye.
Iske baad aap badi aasani se online free me apne blog, youtube channel ya fir social media page ke liye phone application bana sakte hai. Bina kisi app development software ke online free me mobile app kaise banaye chaliye step by step janate hai.
Step 1
Sabse pehle aapko AppsGeyser Site ke iss link ko open karna hai. Site open hone ke baad Create Now ke button par click kare.
Step 2
Ab jo next page open hoga isme aapko vo option select karna hai jiske liye application create karna chahte hai. Yahapar aapko bahut sare option milenge. Jaise ki first tab (popular) me aap dekh sakte hai kuch option (Website, Messenger, Browser, Blog, News, Youtube) hai.
To abhi mujhe website ke liye android phone application create karna hai to mein isme Website ke option par click karuga. Aapko jis purpose ke liye mobile app banani hai aap usse select kar sakte hai.
Step 3
Iske baad jo next page open hoga iska interface kuch iss tarah se hoga to yahapar aapko niche diye steps follow karne hai.
- Apni website URL enter kare.
- Other social sites app me add ho jayege agar add nahi karna hai to inhe remove kar sakte hai.
- Go ke button par click kare.
Step 4
Ab jo next page open hoga isme aapko thoda sa niche ki taraf scroll karna hai.
- Mobile app ka Name enter kare.
- Next ke button par click kare.
Step 5
Iske baad next page me jo window open hogi usme aapki site ka meta description automatically add ho jayega. Agar nahi hota hai to aapko manually yahapar site description enter karna hai.
- Description enter kare.
- Next button par click kare.
Step 6
Ab next page me aapke samne website favicon icon add karne ka option aayega.
- Agar pehle se favicon icon setup kiya hai to App icon add ho jayega.
- Otherwise Upload button par click kar mobile app icon ke liye image select kare.
- Image select karne ke baad Next ke button par click kare.
Step 7
Ab next page me sabhi settings complete ho gayi hai to yahapar aapko Create ke button par click karna hai.
Step 8
Iske baad jo next page open hoga isme aapko AppsGeyser site me sign up karna hai.
- Apni email ID enter kare.
- Password setup kare.
- Tick box me tick kare aur terms of service ko padhna chahte hai to padh lijiye.
- Captcha clear kare.
- Finally Sign Up button par click kare.
Step 9
Ab aapki email id par appsgeyser ki taraf se ek verification link bheja jayega to email inbox me email open kare aur Verify your email ke link par click kare.
Step 10
Email verify karte hi next page me aapki site ki phone application create ho jayegi. Ab aap mobile app ke diye gaye link par click karke isse download kar sakte hai aur apne mobile me check kar sakte hai.
So iss easy tarike se aap apne blog, website, youtube channel ya phir social media page ke liye bina android app development software ke bhi easily android phone application bana sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki apni site ke liye mobile app kaise banaye. Agar aapka koi sawal ya sujhav hai to comment karke jarur bataye aur agar aapko ye jankari helpful lage to iss social sites par share jarur kare.
View Comments (1)
App kaise banaye vo bohat achchi jankari hai.