Copy protected blog par code box me copy enable kaise kare aaj mein aapko iss post me batane wala hu. Agar aapka blog ya website hai to aap apne post contents ko copy protected jarur karna chahenge. Agar aap aisa nahi karte hai to aapke blog post contents chori ho sakte hai. Isliye mostly bloggers apne blog par copy paste disable kar dete hai.
Lekin kai baar bloggers apne blog par aisi post share karte hai. Jinme vo kisi code ko copy karke use karne ke bare me jankari dete hai. Aise me agar blog copy protected hai to visitors ko code copy karne me problem ho sakti hai. Aur vo blog post me uss perticular code ko copy nahi kar payega.
To aise me copy protected blog me code box me copy enable karna better option hai. Agar aapke blog par bhi copy paste disable hai. Aur aap blog post me sirf code box me copy enable karna chahte hai. To iss post me bataye gaye easy steps ko follow kare.
Copy Protected Blog Par Code Box Me Copy Enable Kaise Kare
Copy protected blog ya website par code box me copy enable karna bahut hi aasaan hai. Agar aapka blog wordpress par hai to iske liye aap koi plugin install kar sakte hai. Lekin mein aapko ek code bataunga jisko aap apne blog par add karke. Code box ke code ko copy karwa sakte hai. To chaliye shuru karte hai aur janate hai ki copy protected blog par code box me copy enable kaise kare.
Step 1
Sabse pehle Iss link par click karke Code copy kar lijiye.
Step 2
Code copy karne ke baad ab iss code ko aapko apne blog me add karna hai. Blog par code box add karne ke liye niche diye steps follow kare.
Blogger Blog Me Copied Code Add Kare
- Sabse pehle blogger me sign in kare aur apne dashboard me jaye.
- Left side menu me Theme option par click kare.
- Customise button par click kare.
- Left side options me se Advanced option par click kare.
- Add custom CSS ke box me box me bottom side me copied code paste kare.
- Finally iss action ko save karne ke liye Apply to Blog button par click kar dijiye.
WordPress Blog Me Copied Code Add Kare
- WordPress blog me sign in kare aur Dashboard me jaye.
- Left side menu me Appearance option par click kare.
- Ab kuch option aur show honge isme bottom side me Editor option par click kare.
- Ab ek CSS file open hogi isme bottom side me copied code paste kare.
- Finally save karne ke liye Update file button par click kar dijiye.
Step 3
Ab copy protected blog pe code box me copy enable karne ke liye sabse pehle niche diye code ko copy kare.
<pre>Paste Your Code Here</pre>
Blogger Blog Me Code Box Add Kare
- Blogger blog ke post Editor me jaye.
- Html section me jaye.
- Post me jahapar bhi code box enter karna hai vahapar copied code ko paste kare.
- Paste karne ke baad iss code se “Paste Your Code Here” ko remove kare. Aur jo bhi code aap share karna chahte hai usse enter kare.
- Finally post ko publish kar dijiye.
WordPress Blog Me Code Box Add Kare
- WordPress post editor me jaye.
- Top right side me Text section me jaye.
- Post me jahapar bhi code box enter karna hai vahapar copied code ko paste kare.
- Paste karne ke baad iss code se “Paste Your Code Here” ko remove kare. Aur jo bhi code aap share karna chahte hai usse enter kare.
- Finally post ko publish kar dijiye.
Copy protected blog par code box me copy enable karne ke liye blogger ya wordpress par aapko upar diye steps ko follow karne hai. Jiske baad aap easily apne copy prectected blog par apne visitors ko koi bhi code copy karwa sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki copy protected blog par code box me copy enable kaise karte hai. Agar aapka koi sawal ho to comment kare. Aur agar ye jankari helpful lagi hai to isse share karna na bhule.
View Comments (1)
Rakesh