WPS office me image ko pdf me convert kaise kare iss post me hum janenge so agar aap wps office app ka use karte hai aur photo ko image me convert karne ke bare me janana chahte hai to iss post me aapko wps office ke through picture ko pdf file me convert karne ki puri jankari mil jayegi.
Apne mobile gallery me kisi bhi image ko aap wps office ki help se pdf me badal sakte hai kisi bhi document ko scan karke pdf bana sakte hai ya fir kisi web page ko bhi pdf me change kar sakte hai agar aap apne phone me available kisi photo ko image me convert karna chahte hai to iske kiye niche diye steps follow kare.
WPS Office Me Image Ko PDF Me Convert Kaise Kare
1 Sabse phel WPS office app open kare.
2 Iske baad bottom right corner me Plus (+) icon cv -`qpar click kare.
3 Ab ek popup open hoga to isme PDF option par click kare.
4 Iske baad next interface me Image to PDF option par click kare.
5 Ab aapki mobile gallery open ho jayegi yaha se Photo or image select kare.
6 Photo select kane ke baad bottom right corner me Next option par click kare.
7 Iske baad next interface me Layout option par click karke image layout change kar sakte hai aur Adjust option par click karke photo adjustment kar sakte hai otherwise Save option par click kare.
8 Ab jo next interface open hoga isme Phone option par click kare.
9 Iske baad apne phone ke kisi Folder ko select kare.
10 Folder open karne ke baad finally Save option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya jiss photo or image ko aapne select kiya hai uski pdf file create ho gayi hai, iss tarah se apni mobile gallery ki kisi bhi photo ya image ko aap easily pdf me convert kar sakte hai.
I hope, wps office ke through image ko pdf me kaise badalte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.