X

Ms Excel me English Name Ko Hindi me Convert Kaise Kare

Ms excel me english name ko hindi me convert kaise kare iss post me hum janenge, so agar aap microsoft excel use karte hai aur aapki ms excel sheet me english name ki ek badi list hai, aur excel sheet me sabhi english naam ko hindi me change karna chahte hai to iski puri jankari iss post me aapko mil jayegi.

Microsoft excel me aap kisi bhi text ko hindi language me change kar sakte hai, lekin excel me iska direct koi option aapko nahi milega, iske liye aapko google sheets ka use karna hoga, to chaliye ab step by step janate hai ki ms excel me english text ko hindi me convert kaise karte hai.

Ms Excel me English Name Ko Hindi me Convert Kaise Kare

1Sabse pehle apni Ms excel sheet me available English Name list ko copy kare.

2Iske baad Google chrome open kare.

3Chrome ke top right hand side me Google apps icon par click kare.

4Ab google apps section se Sheets option par click kare.

5 Iske baad google sheets open hoga isme New spreadsheet option par click kare.

5Ab google sheets me new spreadsheet open hogi isme ms excel se Copied name ko past kare.

6Iske baad pehle name ke aage wale cell me niche diya Formula enter kare.

  • =googletranslate(a1,”en”,”hi”)
  • Agar cell A1 me pehla name hai to cell B1 me ye formula enter kare.
  • Iske baad cell B1 me pehla english name hindi me change ho jayega.

7Ab formula Copy karke baki sabhi name ke samne Past kare.

8Iske baad sabhi hindi name ko select karke Copy kare.

9Ab ms apni excel sheet me pehle name ke samne wali cell me Right click kare.

10Iske baad Past special option par click kare.

11Ab ek dialog box open hoga isme Unicode text option ko select karke Ok option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya hai ab aapki ms excel sheet me english name ke samne wale column me unke hindi name add ho jayega, niche isse related video diya hai jispar click karke aap ms excel me english naam ko hindi me change karne ka video dekh sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki microsoft excel sheet me english text ko hindi me convert kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.

 

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More
Related Post