How to solve this site can’t be reached problem in chrome browser yani ki chrome me this site can’t be reached problem solve kaise kare iss post me hum janenge.
Agar aapke google chrome browser me this site can t be reached error aa rahhi hai, koi bhi site open karne par vo site open nahi ho raha hia to isse solve karne ke liye apna google chrome update kar lijiye.
Google chrome update karne ke baad bhi agar aapke chrome browser me this site can t be reached ki problem aa rahi hai to iss problem ko fix karne ke liye niche diye easy steps ko follow kare.
Chrome me This Site Can’t Be Reached Problem Solve Kaise Kare
Google chrome update karne ke baad bhi agar aapki problem solve nahi ho rahi hai, this site can t be reached ki error aa rahi hai to iss problem ko kaise fix karna hai chaliye step by steps janate hai.
1Sabse pehle apna Google chrome browser open kare.
2Iske baad chrome ki Settings ko open kare.
3Google chrome ki settings me Privacy and security option par click kare.
4Privacy and security setting me Always use secure connections opton ko disable kar dijiye.
- Agar aap koi without https protocol wali site open karna chahte hai, to hi iss setting ko disable karna hai otherwise nahi.
5Iske baad Use secure DNS option par click karke next interface me;
- Use secure Dns option ko enable kare.
- Choose another provider option ko select kare.
- Custom option ke samne Dropdown par click kare.
- Google (Public DNS) option ko select kar djiye.
6Iske baad chrome ki settings me Site settings option par click kare.
7Site settings me content section me Third party cookies option par click kare.
8Next interface me Allow third party cookies option ko select kare.
9Iske baad site settings me Javascript option par click kare.
10Ab next interface me Javascript option ko Enable kar dijiye.
Iske baad aapki this site can t be reached problem solve ho jayegi, fir se aapko google chrome browser me sabhi website open hona start ho jayegi.
Agar fir bhi this site can t be reached problem solve nahi hoti hai to aise me aapko kya karna hai chaliye janate hai.
1Apne Google chrome par Long press kare.
2Iske baad App info option par click kare.
3App info section me Force stop option par click karke chrome ko force stop kare.
4Iske baad Storage usage option par click kare.
- Clear cache option par click karke cached files ko delete kare.
- Manage space option par click kare.
- Clear all data option par click karke chrome ka all data clear kare.
Iske baad aapko problem solve ho jayegi this site can t be reached wali error fix ho jayegi, agar fir bhi aapki problem bahi huyi hai to ab aapko ek final kaam karna hai.
Google playstore open karke google chrome update kare agar update available hoga, otherwise uninstall option par click karke pehle chrome ko uninstall kare aur fir reinstall kar dijiye.
ye process karne ke baad 100% aapko problem solve ho jayegi, this site can t be reached error 100% fix ho jayegi.
I hope, chrome me this site can’t be reached problem solve kaise kare, aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share kare.