GOOGLE

Chrome Me Gandi Website Kaise Band Kare

Chrome me gandi website kaise band kare iss post me hum janenge so agar aapko google chrome browser me inappropriate content show ho raha hai, chrome me browsing karte time galat aur gandi website aapko show ho rahi hai to iss problem ko kis tarah se fix kar sakte hai iski puri jankari aapko yahapar mil jayegi.

Agar aap chrome browser me safe browsing karna chahte hai, galat contents wali sites me visit karne se bachna chahte hai to iss post me jo tips and tricks mein aapko batane wala hu inhe aapko sahi se follow karna hai, google chrome browser me gandi sites ko band kaise karte hai iski puri jankari ke liye ye post dhyan se padhe.

Chrome Me Gandi Website Kaise Band Kare

Google chrome browser me safe browsing karne ke liye aur inappropriate contents ko stop karne ke liye niche diye gaye easy steps ko dhyan se follow kare.

1 Sabse pehle Chrome browser open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 vertical dots par cilck kare.

3 Ab jo options aayenge inme Settings option par click kare.

4 Chrome ki settings page me Privacy and security option par click kare.

5 Privacy and security setting me Safe browsing option par click kare.

6 Safe browsing setting me Enhanced protection option ko select kar dijiye.

  • Enhanced protection option ko select karne ke baad chrome browser me aapko dangerous aur harmful websites ke against faster aur proactive protection milegi.

7 Iske baad privacy and security setting me Always use secure connetions option ko enble kar dijiye.

8 Iske baad Use secure DNS option par click kare.

  • Use secure DNS option ko enable kare.
  • Choose another provider option ko select kare.
  • Customised option ke samne dropdown par click kare.
  • Clean Browsing (Family filter) option ko select kar dijiye.

9 Iske baad apne Phone ki settings open kare.

10 Settings page me Private DNS likhkar search kare.

11 Search result me Private DNS option par click kare.

12 Private DNS setting me Designated private DNS option ko select kare.

  • Family.adguard.com URL enter kare.
  • Checkmark option par click karke URL save kare.
  • Agar iss option ko select karne par internet connection problem hoti hai to yahapar Auto option ko select kar lijiye.

Iske baad aapko chrome browser me safe browsing enable ho jayegi aur koi bhi inappropriate content ya vulgar aur harmful websites block ho jayegi.

I hope, ab aap samajh gaye honge ko chrome browser me gandi sites ko band kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.