X
    Categories: GOOGLE

Google Chrome Me Dusri Id Kaise Change Kare

Google chrome me dusri id kaise change kare iss post me hum janenge so agar aap chrome browser kar use karte hai aur google chrome browser me apni 2nd gmail id login karna chahte hai aur nahi jante ki chrome me second id login kaise kare to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.

Chrome browser me apni dusri email id change karna bahut hi simple aur aasaan hai lekin mostly logon ko iske bare me pata nahi hota hai, so agar aapko bhi chrome me apni 2nd id login karne ke bare me jankari nahi hai to niche diye easy steps ko follow kare.

Google Chrome Me Dusri Id Kaise Change Kare

1 Sabse pehle apna Google chrome open kare.

2 Iske baad top side me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me Sync option par click kare.

4 Iske baad next interface me Sign out and turn off sync option par click kare.

5 Ab ek popup open hoga iskem:-

  • Also delete your chrome data from this device option ke checkbox par tick kare agar apne current logged in id ka data apne device se remove karna chahte hai otherwise.
  • Continue option par click kare.

6 Iske baad next interface me top side me Turn on sync option par click kare.

7 Ab next interface me apni 2nd gmail id select karke Yes i’m in option par click kare.

8 Iske baad ek aur popup open hoga isme:-

  • Keep my data separate option ko select kare agar apni primary gmail id aur new id ka data alag alag rakhna chahte hai.
  • Combine my data option par click kare agar primary aur new email id ka data merge karna chahte hai.
  • Dono me koi ek option select karne ke baad finally Continue option par click kar dijiye.

Iske baad aapke google chrome browser me dusra gmail account login ho jayega, iss tarah se aap kabhi bhi chrome me ek se dusri id me switch ho sakte hai, alag alar google email ko change kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki chrome me dusra account kaise khole, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More