Google search history kaise dekhe aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap android user hai to google ka use jarur karte honge aur google par ab tak aapne kya kya search kiya hai agar aap nahi janate hai to iss post me aap apni google search history check karna sikh jayenge.
Google par kisi na kisi jankari ke liye aap kuch na kuch search karte honge, mostly users apne questions ka answer search karne ke liye google search ka use karte hai, kisi website or app ke bare me janana ho, ya fir kisi location ka pata karna ho, google search engine me aap seach kar sakte hai.
Aise me google aapki har ek activity ko track karta hai, aur aapki search activity record karta hai, aise me google par aapne kya kya seach kiya hai yani ki aapki complete search history kya hai aap jarur pata karna chahenge, isliye google search history kaise dekhte hai iss post me hum aage janane wale hai.
Google Search History Kaise Dekhe – How to Check My Complete Search History on Google
1 Sabse pehle Google search activity check karne ke liye My Google Activity ke iss button par kare.
2 Ab next interface me aapke samne aapki Complete google seach history aa jayegi. Yahapar left side menu me kuch options diye gaye hai.
- Bundle View option sabse pehle open hota hai jisme aapki complete search history yani ki aapne ab tak kya kya search kiya hai google par vo aap yahapar dekh sakte hai.
- Item View option par click karke aap Sitewise apni search history dekh sakte hai.
- Delete Activity By option click karke aap date wise apni search history ko filter kar sakte hai aur delete kar sakte hai.
- Other Google Activity option par click karke aap google ke other products jaise youtube, google play etc ki history check kar sakte hai.
- Activity Controls option par click karte hi aapke samne google ki Web and app activity, Location history, Device information, Voice and aurdio activity, Youtube searching history aur Youtube watch history ko enable disable karne ka option aa jayenge to yaha se aap kisi bhi activity ko on ya off kar sakte hai.
- Google Account option par click karke aap apne google account ko manage kar sakte hai, jaise ki Sign in & security, Personal info & privacy, Account preferences etc ko apne according customise kar sakte hai.
Inke alawa aap search option par click karke bhi apne according kisi bhi search history ko find kar sakte hai, jo kuch bhi aapne search kiya hai uss content ko search karke aap apni uss search history ka pata laga sakte hai.
I hope, Google search history kaise check karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe