ANDROID

Android Smart Phone Me Spyware Apps Ka Pata Kaise Lagaye

Android smart phone me spyware apps ka pata kaise lagaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap ek android mobile phone user hai to aapke smart phone me pehle se hi kuch apps pre-inbuilt hoti hai aur kuch applications aisi hoti hai jinhe aap baad me install karte hai.

Aise me ho sakta hai ki koi app aapki phone ki jasoosi kar rahi ho aur aapke personal data ko kisi other ke sath share kar rahi ho. Kyuki mobile app install karte time aapko inn apps ko kuch permissions deni hoti hai jinke through ye apps aapke personal data ko track karti hai.

Mostly apps trusted hoti hai but kuch aisi bhi applications ho sakti hai jinhe aap anjane me koi aisi permission de sakte hai jo aapke data ko leak kar sakti hai. So kaun kaunsi vo spyware apps hai jo aapke phone me jasoosi kar rahi hai isko check karne ke liye niche diye steps follow kare.

Android Smart Phone Me Spyware Apps Ka Pata Kaise Lagaye

1 Sabse pehle Playstore open kare aurAnti Spy Mobile FREE app install kare.

2 Install karne ke baad jaise aap app open karenge aapke samne ek popup open hoga to isse aapko OK press karna hai.

3 Ab aapke phone ki sabhi apps scan hona start ho jayengi aur scanning complete hoti hi aapke samne ek popup me scan result yani ki warning show ho jayegi to isme OK press karna hai.

Iske baad aapke phone me jo bhi spyware applications jasoosi kar rahi hongi vo aapke samne aa jayenge. Aur agar spyware apps nahi hogi to vo apps show hogi jo jasoosi kar sakti hai, jinhe aapne iss tarah ki permissions di hogi, inme se jo trusted apps hogi unke alawa others apps ko aap uninstall kar sakte hai.

Anti spy mobile free app me ki home screen me 4 options diye gaye hai jinme Spywares ke options me dangerous spyware apps show hogi Warnings ke option me suspicious apps show hogi aur All applications me baki other apps show hogi jo puri tarah trusted hogi.

Yahi par aap bottom side me Scan now button par click karke fir se apne android smart phone ki sabhi applications ko fir se scan kar sakte hai, jab bhi aap kuch new apps ko install karenge.

I hope ab aap samajh hi gaye honge ki android smart phone me spyware apps ka pata kaise lagate hai. Agar aapko jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

5 thoughts on “Android Smart Phone Me Spyware Apps Ka Pata Kaise Lagaye

  • मैं आपका डेली रीडर हूं, सर आप बहुत अच्छा लिखते हैं, शुक्रिया

    Reply
  • आपका आर्टिकल पढ़कर मुझे बहुत अच्छा लगा. में अक्सर आपके ब्लॉग के न्यू आर्टिकल्स पढ़ता हूं जिससे मुझे बहुत कुछ सीखने को मिला. आपके सभी आर्टिकल से टॉपिक को पूरी तरह से समझने की पूर्ण क्षमता होती है. आप इसी तरह से हमें अपना ज्ञान देते रहे इसके लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद.

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.