How to check if your Google account is hacked or not yani ki aapka google account hack to nahi kaise pata kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap google user hai aur google par aapka account hai to aapko iske bare me pata hona chahiye.
Agar aapka google account hacked hai to aap iska pata easily laga sakte hai aur yahi nahi iske sath hi aap apne google account ko secure bhi bana sakte hai, aapka google hack hai ya nahi kaise check karte hai aur agar hacked hai to aap apne google ko secure kaise bana sakte hai chaliye janate hai.
Google Account Hack To Nahi Kaise Pata Kare – Check Your Google Hacked or Not
1 Sabse pehle chrome browser open karke apne Google account me login kare.
2 Iske baad MyAccount.Com ke iss link par click kare.
3 Ab top side me jo tabs diye huye hai unme se Security tab par click kare.
4 Iske baad next interface me aapko Security issues found ka message show hota to iska matlab hai ki kuch gadbad hai.
Yahapar bottom side me scroll kare aur Your devices section me aapko vo sabhi devices show ho jayenge jinpar aapka google account logged in hoga.
Agar aapko yahapar aapke device ke alawa koi other device ya browser show hota hai to iska matlab hai ki aapka google account koi unknown person bhi user kar raha hai yani aapka account hacked hai.
5 Ab aapko yahapar wapas top side me scroll karna hai aur Security issues found ke just niche Secure account option par click karna hai.
6 Iske baad next page me kuch security checkups aayenge to jo green check marked hai vo sabhi issues ok hai, iske alawa yahapar aapko yellow check marked Recent security events ka option show hoga to ispar click kare.
7 Click karte hi dropdown open hoga jisme aap invalid login activity dekh sakte hai jaise ki iss unknown device ka name, location aur login time, to yahapar No it wasn’t me option par click kare.
8 Ab next interface me bottom right corner me Change password option par click kare.
9 Ab next interface me apna Current password enter karke Next button par click kare.
10 Iske baad next page me New password set karke bottom right corner me Change password option par kare.
11 Ab aapka google account successfully secure ho jayega, yanapar aap Review & secure button par click karke other security checkup bhi run kar sakte hai.
Aur apne google account par Two step verification code ko enable karke uski security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki aapka google account hacked to nahi kaise pata karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe