YouTube par koi bhi video kisi bhi language me kaise dekhe iss post me hum janenge so agar aap youtube me alag alag language ki video ko apni bhasha me dekhna chahte hai aur nahi jante ki kaise dekhte hai to iss post ko end tak dhyan se padhe.
YouTube me users ko ek aisa feature milta hai jiske through easily kisi bhi language ki video ko kisi bhi other language me dekh sakte hai lekin mostly users ko youtube ke captions feature ke bare me jankari nahi hai isliye agar aap bhi nahi jante ho to niche bataye easy steps ko follow kare.
- Free Background Music Kaise Download Kare Youtube Video Ke Liye
- Youtube All History Delete Kaise Kare
YouTube Par Koi Bhi Video Kisi Bhi Language Me Kaise Dekhe
1 Sabse pehle YouTube app open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab kuch options aayenge to inme Settings option par click kare.
4 Iske baad settings page me Captions option par click kare.
5 Ab next interface me Captions option ko enable kare.
6 Iske baad yahapar kuch aur options unhide ho jayenge.
- Language option par click karke uss bhasha ko select kare jisme aap other language ki videos dekhna chahte hai.
- Text size option par click karke captions text ka size apne according kam jyada kar sakte hai.
- Caption style option par click karke caption ka background aur text color apne according change kar sakte hai.
7 Ab youtube par koi bhi Video open kare.
8 Video play hone ke baad top right corner par CC option par click kare.
Iske baad video ke bottom side me aapko apni language me caption dekhne ko mil jayega, jaise ki agar aap koi english video dekh rahe hai aur aapne caption me hindi language select ki hai to video ke bottom side me aapko video ke dialogs hindi language me show hone start ho jayenge.
Iske alawa top right corner me 3 vertical dots par click karke aap captions option ke through kisi other language ko select kar sakte hai aur uss video ko kisi dusri language me translate kar sakte hai.
Halanki kai video me captions add nahi hote hai aur kai video me sirf kuch selected languages me hi captions add hote hai jiss vajah se ho sakta hai ki aap unhe apni language me translate na kar sakte lekin mostly videos me aapko all languages ke liye captions mil jayenge.
I hope ab aap samajh gaye honge ki youtube me koi bhi video kisi bhi bhasha me kaise dekhte hai agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.