FACEBOOK

How to Change Facebook Profile Name Before 60 Days Limit

Pichli post me maine aapko bataya tha ki facebook par profile name change kaise karte hai. Aur aaj hum janenge ki 60 days limit ke under apna facebook profile name wapas kaise change karte hai. Agar aapne apna facebook profile name ek ya do baar change kiya hai. Aur within 60 days fir se badalna chahte hai to facebook me aisa koi option available nahi hai. Kyuki facebook rule ke according aap yahapar 60 dino se pehle apna profile change nahi kar sakte ho. Aisa facebook ne privacy reason aur spam ko rokne ke liye kiya hai, niche image dekhe.

Lekin agar aapne haal hi me apna facebook name change kiya hai. Aur fir isse wapas change karna chante hai to iske liye mein kuch simple steps aapko bata raha hu. Jisse aap baar baar apne facebook profile name ko change kar sakte hai. Lekin iske sath hi mein aapko bata du ki ab aap koi new name nahi change kar sakte ho. Aapne isse pehle jo profile name set kiye hai, unme se hi aapko choose karna hai.

How to Change Facebook Profile Name Before 60 Days Limit

Ab aap samajh hi gaye honge ki 60 days ke under aap new profile name change nahi kar sakte ho. Aur jo name pehle se hi aap change kar chuke hai, unme se hi aapko apna new name select karna hai. To chaliye ab janate hai ki 60 dino se pehle pehle apna facebook profile name kaise change karte hai. Facebook name change trick janane ke liye niche diye simple aur easy steps ko follow kare.

Step 1

Sabse pehle apne facebook account me login kar lijiye. Login karne ke baad Facebook name change ke iss link me jaye aur get started button par click kare. Yapar aapki account ki checking start ho jayegi jisme thoda time lag sakta hai.

Facebook Profile Name change within 60 days limit

 

Step 2

Ab next window me security reason se aapka password change karne ke liye pucha jayega. Isme Continue button par click kare.

Facebook Profile Name change within 60 days limit

 

Step 3

Iske baad next window open hogi yahapar apna new password choose kare.

Facebook Profile Name

  1. Apna old facebook password enter kare.
  2. Yahapar apna new password select kare.
  3. Next button par click kare.

 

Step 4

Ab next page me aapke samne pehle ke vo facebook profile name show honge jo isse pehle change kar chuke hai. Jaisa ki me pehle bhi bata chuka hu ki yahapar aap new profile name change nahi kar sakte ho. Isliye Yahapar available profile name se jo aap set karna chahte hai usse select kare.

Facebook Profile Name change within 60 days limit

  1. Jo profile name change karna chahte hai usse select kare.
  2. Next button par click kar dijiye.

 

Step 5

Ab jo page open hoga isme aapse security purpose ke liye alerts pane ke liye pucha jayega. Isse jab bhi new device me aapka account open hoga to aapko iski alert mil jayegi. Agar aap alerts nahi pana chahte hai to skip button par click kar dijiye.

Facebook Profile Name change within 60 days limit

 

Lijiye aapka facebook profile name ek baar fir se change ho gaya hai. Aap jitni baar chahe iss method ke through apna facebook name badal sakte ho.

Video Dekhe

I hope aapko within 60 days apna facebook profile name change karne ki ye jaankari helpful lagi hogi. Agar aapka koi saval ho to comment ke through puch sakte hai. Aur ye post acchi lagi ho to isse apne dosto ke sath social networking sites par share bhi jarur kare. Aur humare facebook page ko like karne ke liye yaha click kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “How to Change Facebook Profile Name Before 60 Days Limit

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *