Call Aane Par Name Bolne Wala Setting Kaise Kare
Call aane par name bolne wala setting kaise kare iss post me hum janenge to agar aap chahte hai ki aapke phone me koi bhi incoming call aane par caller ke name ki announcement ho caller tune ke sath caller name bhi announce ho to iske liye aapko apne phone me kaun si setting ko enable karna hai iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.
Apne phone me caller id announcement setting ko enable karke aap sabhi incoming calls par caller name announce karwa sakte hai jiske baad aapke phone me call aayega to naam bolega aapka phone sath hi caller tune bhi play hogi, isse aap phone se thoda door bhi honge to samajh jayenge ki kis contact ki call aa rahi hai.
Halanki aapke mobile ki cantact list me jitne bhi contacts save honge vo jab bhi aapko call karenge to caller tune ke sath sath uss name ki announcement hogi jo aapne apne phone me save ki hogi, lekin unknown caller ke name ki announcement nahi hogi, apne phone me caller name announcement setting ko on karne ke liye niche diye steps follow kare.
Call Aane Par Name Bolne Wala Setting Kaise Kare
1 Sabse pehle apne phone ki Contact app open kare.
2 Iske baad top right corner me 3 dots par click kare.
3 Ab Settings option par click kare.
4 Iske baad advanced section me Caller ID announcement option par click kare.
5 Ab next interface me Announce caller ID option par click kare.
6 Iske baad ek popup open hoga isme:-
- Never option by default selected rehta hai jisse ki incoming call anne par name sirf ringtone play hoti hai.
- Only when using a headset option ko select karenge to headphone use karne par hi caller name announce hoga.
- Always option ko select kar lijiye kyuki iss option ko select karne ke baad ringtone ke sath caller ka naam bhhi announce hoga.
Always option ko select karne ke baad jab bhi aapke phone me saved kisi contact ki incoming call aayegi to ringtone ke sath sath uss contact ka name bhi aapke phone me announce hoga.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki call aane par naam bolne wala setting kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friend ke sath bhi share jarur kare.