BLOGGERPAGES

Blogger Blog Me Terms and Condition Page Kaise Banaye

Hello friends, agar aap apne blog ya website ko professional banana chahte hai to aapke liye “contact us”, “about us”, “privacy policy”, “terms and condition page” banakar publish karna bahut jaruri hai, kyuki inn pages ke madhyam se hum apne visitors ko ye batate hai ki humari website ya blog me kya hai aur unke liye ye safe hai.

Agar humari site par ye pages nahi hai to google adsense account bhi approved nahi hoga, to isliye bhi blogger me ye pages publish karna bahut jaruri ho jata hai

Blogger Me Terms and Conditions Page Kaise Banaye/How to Create Term & Conditions Page for Blog

Blog ke liye privacy policy page kaise banate hai, ye to hum jaan chuke hai iske alawa contact us, about us pages ke baare me aapko aage bataya jayega. Aaj ki post me hum jaanenge ki blogger me terms & conditions page kaise banaye? To chaliye step by step jaante hai ki kya aur kaise kare.

 

??Blog Ki Traffic Kaise Badhaye

Step 1

Sabse pehle termsfeed generator par jaaye, aur Start the genetor par click kare.

Terms and Condition Page

Terms and Condition Page

 

??Blog Me New Post Kaise Kare 

Step 2

Ab agli window me general information bhare.

Terms and Condition Page

  1. General information par click kare.
  2. Website icon par click kare.
  3. No par tick mark kare.
  4. Next step ki button par click kare.

 

??Template Upload Kaise Kare 

Step 3

Next window me business information bhare.

Terms and Condition Page

  1. Apni website ka URL daale.
  2. Website ka naam bhare.
  3. No, the website is operated by me, an individual par tick kare.
  4. Apni country ka naam select kare, india daale.
  5. Apne state ka naam bhare.
  6. Next step par click kare.

 

??Google Search Console Me Site Submit Kare

Step 4

Ab next disclosures page bhare.

Terms and Condition Page

  1. Agar website par kuch sell nahi karte hai to yaha tick kare.
  2. Yes par tick kare.
  3. No par tick kare.
  4. 30 days notice (recommended) par tick kare.
  5. No par tick kare.
  6. Next step button par click kare.

 

??Google Search Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare

Step 5

Agli window me download form bhare.

Terms and Condition Page

  1. Apni email id bhare.
  2. Terms of use, privacy policy aur disclaimer ko read kar sakte hai.
  3. Generate my terms and condition par click kare.

 

??Blog Post Body Ke Niche Share Button Kaise Lagaye

Step 6

Iske baad aapka terms and condition page taiyar hai, isse kopy kare.

Terms and Condition Page

 

??Blog Me XML Sitemap Kaise Submit Kare 

Step 7

Ab apne blogger dashboard me jaaye.

Terms and Condition Page

  1. Pages par click kare.
  2. New page par click kare.

 

??Broken Links Kaise Remove Kare 

Step 8

Ab post editor open ho jayega, yaha niche diye steps follow kare.

Terms and Condition Page

  1. Title me terms and condition enter kare.
  2. Copy kiya hua terms and conditions page ka matter yaha paste kare.
  3. Publish ki button par click kare.

Lijiye dosto aapki website ka Terms and Condition page ban kar publish ho chuka hai. yeh jaankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye. Iske saath hi post pasand aane par isse share bhi jarur kare.

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

16 thoughts on “Blogger Blog Me Terms and Condition Page Kaise Banaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.