X

Blogger Blog Me Feedburner Feed Kaise Add Kare

Hello friends, hinglish help ke madhyam se aaj hum aapko batayenge ki blog par feedburner feed kaise add kare. Agar koi visitor humare website ko like karta hai, aur chahta hai ki humari new post ki jaankari usse email ke dwara milti rahe. To usse humari site par email subscribe karna hoga.

Lekin iske liye humare blog par email subscription service active hona bahut jaruri hai.

Email subscription service active hone se purane visitors bhi humari site par dubara aate hai.

Aur new visitors ko bhi new post ki jaankari milti hai. Jisse fayda yeh hoga ki humari site ki traffic aur bhi jyada increase ho sakti hai.

Blogger Blog Me Feedburner Feed Kaise Add Kare

Har blogger jaanta hai ki blog ke liye traffic ki kya importance hoti hai, apni site par traffic badhane ke liye hum social networking sites ki help bhi lete hai.

Hum apni post ko jyada se jyada logo tak pahuchana chahte hai jiske liye apne article ko promote bhi karte hai. Aur ab feedburner ki help se visitors increase karne ke baare me jante hai.

To chaliye dosto blogger blog me feedburner feed ko add karne ke liye niche diye steps follow kare.

Step 1

Sabse pehle my feed par click kare aur gmail id se login kare.

Agar account nahi hai to pehle is link par click karke feedburner par account banaye.

Ab blog name par click kare.

 

Step 2

Ab jo agla page open hoga usme se link copy karna hai.

  1. Edit Feed Details par click kare.
  2. Original Feed se URL copy kare.

 

Step 3

Ab apne blogger blog me login kare.

  1. Settings me jaye.
  2. Other par click kare.
  3. Copy kiya hua original feed url ko yaha paste kare.
  4. Save settings par click kar dijiye.

Lijiye dosto ab aapke blog par feedburner add ho gaya hai, aur ab aapko mujhe batana hai ki yeh jaankari aapko kaisi lagi.

Aur agar post acchi lagi ho to social media par apne dosto aur janane walo ke sath isse share karna na bhule.

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More