BLOGGER

Blogger Blog Me Meta Description Add Kaise Kare

How to add meta description in blogger blog yani ki Blogger blog me meta description add kaise kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap blog blogger platform par hai to aapko apne blog me meta description add jarur karna chahiye.

Meta description ek tarah ka meta tag hota hai jisme 100-150 characters add kar sakte hai, aur meta description add karke aap apne blog ki search ranking ko increase kar sakte hai aur usse google par top ranking me pahucha sakte hai.

Meta tag ek tarah ka on page SEO hota hai aur aur blog ya blogpost me meta descrition submit karke aap apne blog ka SEO kar sakte hai. Blog me search engine optimization karne ke kai tarike me se meta description add karna bhi ek tarika hai.

Blogger Blog Me Meta Description Add Kaise Kare

Agar aapka blog blogger platform par hai to apne blog me meta tags add karke SEO level increase kaise karte hai iske liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.

1 Sabse pehle apne Blogger blog me login kare.

2 Blogger dashboard me left side menue me Settings par click kare.

3 Ab kuch options open honge isme Search preferences par click kare.

4 Iske baad Meta tags ka option aayega to isme Edit option par click kare.

5 Ab kuch or option aayenge to isme Enable search description ke samne Yes par tick karna hai.

6 Ab ek box open hoga jisme aapko apne blog se related meta description add karna hai. To 100-150 characters tak apne blog ki detail yahapar enter kare aur finally Save changes button par click kar dijiye.

Iss tarah se aapke blogger blog me aapke blog se related meta tags add ho jayega, ab aapke blog se related keywords ko koi google search me search karega to aapka blog ka search result me aane ke chances jyada badh jayega.

Iske sath aap apni blogger blogpost me bhi meta description add kar sakte hai, aur blog post me meta tags kaise add karte hai iske liye niche diye steps follow kare.

1 Sabse pehle apni blog post Open kare jisme serach description add karna hai.

2 Ab post editor me right side menue me Search description ke option par click kare.

3 Ab ek box open hoga jisme aapko apni blog post se related Keywords enter karne hai. Yahapar apni post ke bare me 2-3 line me type kare aur finally Done option par click kar dijiye.

Iss tarah se aap apne blogger blog me meta tag add kar sakte hai, blog ke liye aapko meta tags ek baar hi add karna hai aur post ke liye aapko apni har post me post se related meta description submit karna hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki blogger blog me meta description add kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.