Blogger Blog Me Indian Flag Cursor Kaise Add Kare
Blogger blog me indian flag cursor kaise add kare iss post me hum janenge so agar aap ek indian blogger hai aur blogger platform par aapko blog hai to apni blogger website me aap cursor me indian tiranga flag wala icon kaise add kar sakte hai iski puri jankari aapko iss post me mil jayegi.
15th august or 26th january jaise dino me indian ke andar ek alag se deshbhakti ka utsaah hota hai aur kai tarike se log apni deshbhakti ko dikhate hai, aise me agar aap ek blogger hai to apni website me aap indian flag cursor add karke apni deshbhakti dikha sakte hai.
Independent day or republic day ke alawa bhi aap other national days me apna deshprem apne blog me indian flag cursor ko add karke dikha sakte hai, 2 type ke flag aap apne blog ke cursor me laga sakte hai, iski puri jankari ke liye niche diye easy steps ko sahi se follow kare.
- Website Ke liye About Us Page Kaise Banaye
- Google Adsense Ke Liye High Quality Blogpost Publish Kaise kare
Blogger Blog Me Indian Flag Cursor Kaise Add Kare
1 Sabse pehle apne Blogger blog me login kare.
2 Ab blogger dashboard me left side menu me Layout option par click kare.
3 Layout section me Add a gadget option par click kare.
4 Iske baad popup window open hogi isme HTML/Javascript option par lick kare.
5 Ab ek dialog box open hoga isme Content ki field me niche image me diye codes me se koi bhi ek Code ko paste kare.
6 HTML code paste karne ke baad Save option par click kar dijiye.
Iske baad aapke blogger blog me indian flag wala cursor add ho jayega aur ab aap mouse pointer ko jaise jaise move karenge vaise tirangey ka icon bhi aapke page me move hota rahega.
Dono code me alag alag flag icon cursor me add hoga aap dono hi indian flag icon me se kisi ek icon ko apne blog ke cursor me set kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki blogger blog me indian flag cursor kaise add karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe