Blogger Blog Banane Ke Baad Kya Kare
Hello friends, blogging ke liye blogger ek bahut hi easy aur popular platform hai, ye google ki free service hai aur isme hum free me apna blog bana sakte hai aur apne vichaar duniya tak pahucha sakte hai, agar aapne abhi tak blog nahi banaya hai to pehle blogger me blog kaise banaye post ko padhkar apna free me blog bana lijiye.
Blogger Blog Banane Ke Baad Kya Kare
New bloggers apna blog to bana lete hai but blog banane ke baad kya karna hai iske baare me unhe kuchh khas jaankari nahi hoti hai, issi baat ko dhyan me rakhte huye sequence me jaante hai ki kya karna hai.
#1 Template Upload Kare
Blog banane ke baad sabse pehle blog design karne ki jarurat hoti hai, kyuki audience ko sabse pehle blog ki design hi attract karti hai, lekin iska ye matlab nahi hai ki aapko website ko design karna sikhna hoga, balki aap pre-designed templates ko apne blog par upload kar sakte hai.
Blogger me pehle se hi bahut saare free template diye gaye hai, aap unka use kar sakte hai, ya phir internet se koi bhi accha sa template download karke apne blog par apply kar sakte hai.
Template esa choose kare jo simple ho, fast loading ho, mobile aur seo friendly ho kyuki isse visitors ko koi dikkat nahi hogi aur pc ho ya mobile aapki website ko aasani se access kar sakte hai.
??Blog Me Template Kaise Upload Kare iske liye yaha click kare
#2 Page Banakar Publish Kare
Agar aap apne blog ya website ko professional banana chahte hai to aapke liye “contact us”, “about us”, “privacy policy”, “terms and condition” pages banakar publish karna bahut jaruri hai, kyuki inn pages ke madhyam se hum apne visitors ko ye batate hai ki humari website ya blog me kya hai aur unke liye ye safe hai.
Agar humari site par ye pages nahi hai to google adsense account bhi approved nahi hoga, to isliye bhi blogger me ye pages publish karna bahut jaruri ho jata hai.
??Blog Me Contact Us Page Banane Ke Liye Click Kare
??Terms and Conditions Page Banane Ke Liye Click Kare
??Privacy Policy Page Banane Ke Liye Click Kare
#3 Blog Post Publish Kare
Aapne blog to bana liya hai lekin isme sabse important kaam hota hai post banakar publish karna, post likhne se se pehle post ke baare me apni knowledge badhaye, yani ki jiss subject par aap post kar rahe hai aapko uski acchi jaankari honi chahiye, kyuki visitors post se related doubts aapse puchh sakte hai, aur hamesha apne interest se related post kare.
??Blog New Post Kaise Kare Click Kare
#4 Blogger Post Body Ke Niche Share Button Lagaye
Social media blog post ko promote karne ka sabse better aur popular platform hai, blog ki traffic increase karne ke liye post ko social networking sites par share karna beneficial hota hai, aur post body ke niche social sharing buttons laga kar hum iss kaam ko aur bhi aasaan kar sakte hai.
Social sharing buttons ki help se hum khud to apni post ko social networking site jaise facebook, twitter, google+ etc sites par share kar sakte hai, aur visitors ko bhi share karne ke liye keh sakte hai.
??Blog Post Body Ke Niche Share Button Lagane Ke LIye Click Kare
#5 Google Search Console Me Website Submit Kare
Duniya bhar me jyadatar log google search ka istemaal apne doubts ka solution search karne liye karte hai, aur google bhi logo ki search request se related links show karta hai.
Blogger ke liye ek khushi ki baat yeh bhi hoti hai ki uski website ki link google search me show kare, lekin iske liye usse apni site ki link ko google search console me add karna padega.
??Google Search Console Me Apni Website Ko Submit Karne Ke Liye Click Kare
#6 Google Search Console Me Sitemap Add Kare
Google search console me sitemap add karke hum google ko yeh batate hai ki humari site me kya aur kitne page hai iske saath hi yeh bhi batate hai ki kab aur kitni post hum published kar chucke hai.
Ab aap soch rahe honge ki isse kya fayda hoga??, darasal sitemap add karne se google ko humari new post published ke baare me pata chalta hai, jisse ki humari post search engine me bhi aasani se aa jaati hai.
??Google Search Console Me Sitemap Add Karne Ke Liye yaha Click Kare
#7 Google Search Console Me Post Ko Jaldi Index Kare
Aap shayd ye jaante honge ki humari new post ko google me index hone me lagbhag do ya teen din ka samay lag sakta hai, lekin agar aap apni new post ki link ko google search console me submit karte hai, to jaldi hi aapki link show hone lagti hai.
New post ko search console me fetch karke hum apni post ki link ko google search ki high ranking me submit kar sakte hai.
??Search Console Me Post Ko Jaldi Index Karne Ke Liye Yaha Click Kare
#8 Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Jode
hum website ya blog banate hai, aur chahte hai ki humari site par dher saare visitors aaye. Aisa aksar hota bhi hai, lekin sabse important baat hai unn visitors ko track karna jo humari site par visit karte hai.
Apni site ki traffic par nazar rakhne ke liye hume ek aisa tool ki jarurat padegi jo humare visitors ki har moment ko track kar sake, for example, total visitors ki detail, new and old visitors ki percentage kitni hai, kis browser ka use kitna hua, kis website se kitne visitors aaye, kaun si country se kitne aaye, total pageview kya hai, aur bounce rate kya hai etc, iske alawa bhi kai tariko se track kar sakte hai.
Visitors ko track karne ke liye sabse best tool hai google analytics, aur iss tool ka use karne ke liye sabse pehle analytics me account banana hoga aur apne blog se jodna hoga.
??Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Jodne Ke Liye Yaha Click Kare
#9 Google Analytics Ko Adsense Account Se Connect Kare
Google analytics par adsense ki full earning detail dekhne ke liye aapko apne analytics account ko adsense se jodna padega.
Google analytics ko adsense se connect karne ke baad hum ye dekh sakte hai ki humari kaun si post se kitni earning aa rahi hai, aur kis tarah ke ads (display or text) ke through kitni earning ho rahi hai, jisse aap apne ads ko improve karne ke liye unhe renovate kar sakte hai.
??Google Analytics Ko Adsense Se Connect Karne Ke Liye Yaha Click Kare
#10 Blog Ke Liye Feedburner Feed Banaye
Apne blog visitors ki sankhya ko orr jyada increase karna chahte hai to feedburner id ko apne blog me add karna aapke liye bahut jaruri ho jata hai, kyuki isse koi bhi visitor apni email id par humari website ko subscribe kar sakta hai.
Email subscription se hume fayda yeh hoga ki jab bhi hum koi naya article publish karenge to visitors ko bhi iski jaankari email ke through mil jayegi, aur iske sath sath old visitors ko bhi post ki jankari mil jaayegi, jiske karan humari blog traffic orr bhi jyada increase ho sakti hai.
??Blog Ke Liye Feedburner Feed Kaise Banate Hai Yaha Click Kare
#11 Blog Me Facebook Page Like Widget Lagaye
Aapne facebook me apna blog se related page bhi jaroor banaya hoga, bus aapko apne facebook page ka address apne blog ke fan box me dalna hai, agar page nahi hai to pehle facebook page banaye.
Facebook page ki help se aap apne blog ka promotion bhi kar sakte hai, aapko sirf facebook like box apne blog par add karna hai.
Iske baad jis kisi bhi visitor ne aapke like box par like kiya hai, usse aapki new post ki jaankari facebook notification me pata lag jaayegi.
??Facebook Page Like Box Widget Laganey Ke Liye Click Kare
#12 Blog Promotion Ke Liye Social Networking Sites Par Account Banaye
Blog ko promote karne ke liye social networking sites ka sabse important roll hota hai, yaha par apna account banakar hum jyada se jyada logo tak apni post ko pahucha sakte hai. Blog promotion ke liye niche diye steps follow kare.
??Blog Se Related Facebook Group Banaye
Dosto blogger me blog banane ke baad kya kya karna hai, ab aap jaan gaye hai, iske alawa bhi aur updation ke liye aapko aage ki post me bataya jayega, abhi comment ke through aapko ye batana hai ki ye post aapko kaisi lagi, aur agar post acchi lagi ho to social network par isse apne dosto ke sath share karna bilkul naa bhule, aur iske sath aap humare facebook page ko like bhi jarur kare.
Bhai aapne bahot useful information di hai.maine aapki post ko follow kiya.meri traffic real mai badhi hai.thank u bro.
Bhai thank u.Bahot useful information hai.sahi mai meri blog ki traffic increase hui hai.
Thanks
bahut hi acchi post thi ramesh ji
isse main apne blog pr aapke dwara page laga paya hun
https://taknikworld.blogspot.in/
thanks
आपकी साइट अच्छी है, यहाँ से काफी उपयोगी जानकारी मिली, धन्यवाद॥
thanks
Ramesh ji aapne bahut hi achi jankari diye hai
New blogger ko bahut hi help milega.
Thanks
Sir title ek hone se koi other person aapka naam search Ho sakta hai kya, jara detail me bataiye
kis title ke bare me puch rahe hai aap