X

BLOG XML SITEMAP GOOGLE SEARCH CONSOLE

Hello friends, aaj ki post me hum jaanenge ki kaise apni website me XML sitemap submit karte hai, aur isse kya fayda hoga.


Google search console me sitemap add karke hum google ko yeh batate hai ki humari site me kya aur kitne page hai iske saath hi yeh bhi batate hai ki kab aur kitni post hum published kar chucke hai.

Ab aap soch rahe honge ki isse kya fayda hoga??, darasal sitemap add karne se google ko humari new post published ke baare me pata chalta hai, jisse ki humari post search engine me bhi aasani se aa jaati hai.

Pichhli post me hum ye jaan hi chuke hai ki google search console me website submit kaise kare? aur chaliye ab step by step jaante hai ki blog/website me xml sitemap kaise submit kare.

Step 1

Sabse pehle Google search console me click kare, aur sign in kare.

Step 2

Yaha par apne blog name par click kare.

Step 3


Sitemap ki button dabaye.

Step 4

Ab niche diye gaye steps follow kare.

 

1. Add/Test Sitemap ki button dabaye
2. Yaha par niche diye gaye sitemap submit kare.

  • 500 se kam post ke liye atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500 submit kare.
  • 500-1000 post ke liye atom.xml?redirect=false&start-index=501&max-results=500 ko bhi submit kare.
  • 1001-1500 post hai to atom.xml?redirect=false&start-index=1001&max-results=500 ko bhi submit kare.
  • Issi tarike se xml sitemap me index= aur &max ke beech 500 ke set me numbers badha kar add kar sakte hai.
3. Submit ki button dabaye.
Lijiye ab aapki website ki sitemap submit ho gayi hai, agar kisi tarah ki dikkat ya pareshani ho to aap hame comment karke apne sawal puch sakte hai.
??Agar aapko yeh post acchi lagi ho to niche diye gaye share button dabakar share jarur kare. aur iske saath hi aap hamara facebook page bhi like kar sakte hai.
Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)