BLOGGERSEOWORDPRESS

Blog Ki Traffic Rank Increase Karne Ki 8 Most Popular Tips

Hello friends, agar aap blogging karte hai aur chahte hai ki aapke blog par high quality traffic aaye. To iss article me bataye gaye traffic rank increase karne ke 8 most popular tips ko jarur follow kijiye. Sabhi highest traffic websites inn tips ko follow karte hai. Aap bhi inn tips ko follow karne ke baad apni web traffic analysis kar sakte hai.

bahut se aise bloggers hai jinki site par low traffic hone ki vajah se unhone blogging chhod diya hai. Isliye aaj hum website traffic ko increase karne ke kuch aise simple tips ke bare me baat karenge. Jisse aapki site traffic aur bhi jyada high ho sakti hai. Aur aapki site ka seo optimization aur bhi jyada increase ho sakta hai.

Blog Ki Traffic Rank Increase Kaise Karte Hai/How to Increase Blog Traffic

Agar aap online extra income karna chahte hai to aapke liye blogging ek best option ho sakta hai. Jiske dwara aap online earning kar sakte hai. Online earning karne ke aur bhi bahut se tarike hai. Aap online marketing, affiliate marketing, internet marketing aur search engine marketing se bhi online paise kama sakte hai.

Lekin internet se earning karne ke liye blogging ek best aur simple way hai. Lekin blog ya website se paise kamane ke liye aapki site par heavy traffic aur quality contents hona bahut jaruri hai. Blog par high quality traffic kaise badhate hai chaliye detail me janate hai.

1. Blog Post Me Quality Contents Post Kare

Blog me contents ka bahut bada roll hota hai, readers ko aasani se samajh me aana chahiye ki aapki post kis baare me hai aur aap kya samjhana chahte hai.

Isliye apne blog me unique aur quality contents hi use kare, aur iss baat ka khas dhyan rakhe ki kahi aur se ya phir kisi other source se contents ko copy nahi karna hai, aur iske sath hi jo bhi post me image add kare vo post se related honi chahiye.

 

2. Link Build Kare Other Blog Par Comment Ke Through

Blog traffic badhane ka ek aur best idea ye hai ki aap other blog post me comment kare, isse hoga ye ki jab bhi aap kisi dusre blog par commenting karenge to iske sath aapka blog ka url bhi submit hoga.

Isse aapko ek good backlink mill jayegi aur uss blog ke readers bhi aapke blog me aa sakte hai, isliye other blog post me quality comments likhe aur apne blog ka url submit kare.

 

3. Apne Blog Ke Comments Ka Answer Jarur De

Apne blog readers se acche relations banane ke liye unke comments ka answer jarur de, isse aapke readers aapke blog me interest lenge aur dubara aayenge.

Aur jab bhi aap reply kare to readers ko awesome tarike se jawab dijiye, ek awesome reply aapke blog ki value badha sakta hai.

 

4. Blog Me Social Sharing Buttons Add Kare

Apne blog me social sharing button add kare, jab bhi koi visitor aapki blog post read karega aur usse post acchi lagti hai to vo usse social networking sites par share kar sakta hai.

Aur agar aapke blog me social share button add honge to vo aasani se post ko apne dosto ke sath social media par share kar sakta hai.

 

5. Keywords Ka Use Kare

Blog post ke focus keyword ko post title, post heading, post sub heading, post permalink post ke first aur last paragraph me use kare.

 

6. Guest Post Kare

Aap authority blog ya heavy traffic blog me guest post start kar sakte hai, aur lagbhag sabhi bloggers guest posting ko allow karte hai.

Aur ye search engine me aapke blog par aur bhi jyada website visitors increase karne me aapki help karega, isliye other success blog me guest posting jarur kare.

 

7. Traffic Rank Increase Karne Ke Liye Social Networking Sites Ka Use Kare

Labbhag sabhi internet users social media sites par active rehte hai, aur issi vajah se ye ek best platform hai jaha par aap apne blog ko promote kar sakte hai, aur jyada se jyada website hits increase kar sakte hai.

Social networking sites par aap apne blog se related page aur group banakar apne blog ki har post ko share kare.

 

8. Apne Blog Ko Search Engines Me Submit Kare

Apne blog par heavy internet traffic pane liye sabhi major search engines me apni site ko submit kare. Aur agar aap sabhi tools me apni site submit karte hai to search engine optimization (SEO) me aapki site top rank me aa sakti hai. Blog ke liye seo optimization kitna jaruri hai ye aap acchi tarah se janate honge.

 

Dosto ye 8 easy tips hai jinka use karke aap apni site traffic aasani se increase kar sakte hai. Aapko inn sabhi tips ka apne blog me use karna chahiye.

Blog ki traffic rank increase karne se related ye jaankari aapko kaisi lagi apne comments ke through jawab jarur de. Aur agar ye post acchi lagi hoto isse social media sites par apne dosto ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

7 thoughts on “Blog Ki Traffic Rank Increase Karne Ki 8 Most Popular Tips

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.