WHATSAPP

Whatsapp Pe Bina Number Save Kiye Message Kaise Bheje

Whatsapp pe bina number save kiye message kaise bheje iss post me mein aapko bataunga so agar aap whatsapp user hai aur whatsapp par ki new number par message bhjena chahte hai ya koi document share karna chahte hai to iss video me jo trick mein aapko batane wala hu uske through aap koi bhi new contact save kiye bina bhi uspar message bhej sakte hai.

Kai baar aisa hota hai ki hume kisi new number par koi message bhejna hota hai ya koi document share karna hota hai, lekin iske liye pehle uss person ka number apne contact me save karna hoga uske baad hi aap uss saved contact par koi whatsapp message send kar sakte hai lekin iss trick se aap easily bina number save kiye message bhej sakte hai puri jankari ke liye niche diye steps follow kare.

Whatsapp Pe Bina Number Save Kiye Message Kaise Bheje

1 Sabse pehle Chrome browser open kare, koi other browser bhi open kar sakte hai.

2 Iske baad url bar me niche diye link enter kare.

  • https://wa.me/MobileNumber
  • Note:- MobileNumber ki jagah par aapko uss person ka mobile number country code ke sath enter karna hai jisse message bhjena hai. Iske baad link open kare.

3 Ab next interface me Continue to chat option par click kare.

4 Iske baad uss new number ki whatsapp chat open ho jayegi, aur ab aap koi bhi message ya koi bhi document iss number par whatsapp kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki bina koi new number save kiye kisi bhi person ko whatsapp message kaise send kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.