Playstore par bahut si aisi best whatsapp messenger application hai jinka use karke aap apne whatsapp ko aur bhi jyada useful aur interesting bana sakte hai. Agar aap playstore me search karenge to aapko bahut si aisi apps mil jayengi jinka use aap apne whatsapp messenger par kar sakte hai aur new aur latest tricks ko use kar sakte hai.
Aisi hi kuch interesting aur awesome apps hai playstore par jinke bare me mein aapko iss post me batane wala hu. To kaun kaunsi hai ye playstore applications jinka use aap apne whatsapp account me kar sakte hai chaliye iss post me jante hai.
Whatsapp Tricks: Best Whatsapp Messeger Application on Playstore
Download View Deleted Messages & Photo Recovery
Download WAMR Recover Deleted Messages and Status
DOWNLOAD Hi DICTIONARY TRANSLATE
Download Unseen – No Last Read
Download Kids Place – Parental Control & Child Lock
Download ROPOSO India’s own video App
Download Background Eraser
AZ Screen Recorder
Iss screen recorder app ki help se aap apne mobile phone ki screen record kar sakte hai aur agar aapko whatsapp video calling ko record karna hai to iss app ke through easily kar sakte hai.
Net Blocker
Iss application ke through aap apne android smart phone me kisi bhi app ka internet stop kar sakte hai aur wapas enable bhi kar sakte hai.
Invisiblock App
Iss application ko help se aap apne WhatsApp account me gesture lock enable kar sakte hai jiske baad jab bhi aap WhatsApp open karenge to gesture draw karna hoga tabhi WhatsApp open hoga otherwise nahi.
Download LockWatch Thief Catcher
WhatsCrop
Whatsapp me agar hum apni DP upload kare to isme photo ka full size add nhi hota hai but iss app ke help se aap apni WhatsApp profile picture ko full size me upload kar sakte hai.
WA Punch
Iss application me aapko 11 alag alag settings milengi jinka use aap WhatsApp me kar sakte hai aur apne WhatsApp experience ko aur bhi better bana sakte ho.
Image to PDF Converter App
Iss app ke through aap kisi bhi friend ko WhatsApp me password protected photo send kar sakte hai aur fir koi third person usse dekh nhi sakega, jo photo aap WhatsApp pe share karenge vo pdf format me show hogi jo ki password enter karne ke baad image me badal jayegi.
Download Image to PDF Converter App
Download Messenger and Chat Block
Tranit Free Translator
Ye ek aisi application hai jiske help se aap English hi nhi other country ki language ke sath sath Indian regional languages ko ek click me apni laguage me convert kar sakte ho jo ki Translator app se bilkul different hai.
Download Tranit Free Translator
Text Analysis for WhatsApp
Iss android app ki help se aap apne WhatsApp par kisi bhi chat ka pura analytics check kar sakte hai jaise ki first chat aur last chat kab hui thi kitne words chat me use huye evening me kitni aur morning me kitni chat hui thi etc, isle alawa inn sabhi ka graph bhi aapko isme dekhne ko mil jayega.
GB Chat Offline for Whatsapp
Iss app ke through aap apne kisi bhi whatsapp friend ko direct messege send kar sakte hai, blank messeges bhej sakte hai aur repeated message bhi bhej sakte hai, iske liye aapko simply playstore se ye application install karni hai.
Designer Tool
Iss application ke through aap apne WhatsApp ki home screen par apna khud ka photo ya fir kisi bhi friend ki photo add kar sakte hai aur apne WhatsApp ko ek stylish look de sakte hai.
Fake Chat
Iss app ke through aap kisi ko bhi apni fake chat generate karke dikha sakte hai aur samne wale ko bewakoof bana sakte hai.
Stylish Text
Agar aap apne whatsapp account me vahi purane font style me chat karke bore ho gaye hai to ab aap alag alag stylish font me apne friends ko message send kar sakte hai iske liye bus aapko iss stylish text app ko apne mobile me install karna hoga.
Oops Applock
Agar aap iss application ko install kar WhatsApp me setup kar dete hai to aapka WhatsApp open karne ke baad bhi koi chala nhi payega aur isme kisi bhi tarah ki movement nhi hogi aur jab aap volume down button ko 3 time press karenge tabhi aapka WhatsApp run karega.
Auto Clicker
Auto clicker app ki help se aap apne kisi bhi friend ke sath whatsapp par prank kar sakte hai aur isse ek fun ke taur par use kar sakte hai. Auto clicker application se aap withou type kare apne friends ko same messege ek click me kai baar send kar sakte hai.
Transparent mode – Real Transparent Screen
Aap apne whatsapp account ko transparent bana sakte hai aur whatsapp par chating karte time apne mobile ke backside ki location ko dekh sakte hai iske liye aapko transparent mode application ko playstore se install karna hai aur settup karke whatsapp se connect kar dena hai.
WhatsVoice: Voice Translator & Voice Typing
Agar aapko english nahi aati hai aur aapko whatsapp par koi english me messege send karta hai to ab aap whatsapp chat me hindi me bolkar uss messege ko english me type kar sakte hai bus iske liye aapko whatsvoice translator app ko install karna hai.
Download WhatsVoice Translator App
G-Board
Ab aap apne whatsapp messenger ko google ki tarah use kar sakte hai aur kisi bhi google search ko aap apne whatsapp par hi kar sakte hai iske liye aapko playstore G-board app install karna hai uske baad aapke whatsapp par hi google chalne lagega.
Best whatsapp messeger application ke iss article me abhi itna hi, aur bhi kai sari applications hai playstore par jinka use aap apne whatsapp me kar sakte hai aur usse aur bhi jyada interesting bana sakte hai, unn sabhi details aapko iss post me mil jayegi.
So friends ye sabhi applications ko install karke aap apne whatsapp ko aur bhi better tarike se use kar sakte hai. Agar ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
View Comments (1)
अच्छी जानकारी दी है कि
Nice trick