Excel Me Remove Numeric Macro Ka Use Kaise Kare
- Products & Customer Names List
- Student Name, Student Grades & Student Total Marks List
- Budget list, Forecasting List
- Scientif Data Analysis
- Chart Ka Use
- Forms & invoice creation Etc
Excel Me Remove Numeric Macro Ka Use Kaise Kare
Aaj ki post me aapko ek esi useful macros (VBA trick) ke baare me jaankari di jaayegi jiski help se aap excel worksheet ke cells me ek saath mojud text aur numeric ke beech me se numeric digits ko remove kar sakte hai, to chaliye dosto step by step dekhte is Macro Tutorial me ki kaise karna hai.
Step 1
Sabse pehle ek worksheet open kare aur usme ek list banaye, name ke saath numeric ki. Aap chahe to dono ke beech me space de ya phir without space rehne de.
Step 2
Ab niche diye step follow kare.
- List ko select kare.
- VIEW tab me click karke macro > view macro par click kare ya phir Alt+F8 kare.
- Macro name de, kuch bhi de sakte hai. Fox expl:- ABC.
- Create ki button par click kare.
Step 3
Ab aapke samne ek code module box open hoga isme pehle se jo text honge unko delete kar de aur niche di gayi macro command ko copy kare.
- Niche box me diya gaya macro code copy karke yaha paste kare.
- Play ki button par click kare.
Sub RemoveNum()
‘Updateby20131129
Dim Rng As Range
Dim WorkRng As Range
On Error Resume Next
xTitleId = “KutoolsforExcel”
Set WorkRng = Application.Selection
Set WorkRng = Application.InputBox(“Range”, xTitleId, WorkRng.Address, Type:=8)
For Each Rng In WorkRng
xOut = “”
For i = 1 To Len(Rng.Value)
xTemp = Mid(Rng.Value, i, 1)
If xTemp Like “[0-9.]” Then
xStr = “”
Else
xStr = xTemp
End If
xOut = xOut & xStr
Next i
Rng.Value = xOut
Next
End Sub
Step 4
Iske baad ek Kutools box open hoga.
- Apni list ko select kare.
- Ok ki button par click kare.
Ab jaise hi aap ok button par click karenge, aapki alpha aur numeric list me se numbers remove ho jayenge, niche image me dekhe.
Ye Bhi Padhe
- Advance Excel Me Concatenate Formula Kaise Use Kare
- Hyperlink Image Macro Ka Use Kaise Kare
- Excel Me Hyperlink Macro Ka Use Kaise Kare
- Data Validation List Kaise Use Kare Advance Excel Me
- Insert Chart Kaise Use Karte Hai
- Excel Me Data Group Ka Use
- Excel Formula Me Symbol Kaise Add Kare
- Data Goal Seek Ka Kaise Use Kare
- Data Sort Filter Kaise Kare Excel Me
- Text Formula Ki Puri Jaankari
- HLookup Aur VLookup Jane
Dosto ummeed hai aapko yeh post pasand aayi hogi, agar kisi tarah ka koi confusion hai to aap comment karke apna saval puch sakte hai, hume reply karne me khushi hogi.
Agar remove numeric macro se related ye post aapko acchi lagi ho to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.
very nice post