X
    Categories: ANDROID

Airplane Mode Me Internet Kaise Chalaye 2022 Me

Airplane mode me internet kaise chalaye iss post me hum janenge, airplane mode yani ki flight mode sabhi android smartphone me hota hai aur jaise ki aap janate hi honge airplane mode ko agar aap enable kar dete hai to aapke phone ka network block ho jata hai iske baad koi call ya message aapke phone me nahi aayega aur aapke phone ka internet bhi kam karna band kar deta hai.

Lekin agar aapko apne phone me call aur sms block karne hai aur internet connection ko on rakhna hai to iss post me jo secret trick mein aapko batane wala hu uske through aap easily flight mode on karke sirf internet connection ko on rakh sakte hai youtube chala sakte hai ya google me kuch bhi search kar sakte hai or online kuch bhi kaam kar sakte hai.

Bahut baar aisa hota hai ki hum internet me online kuch jaruri kaam karte hai aur aise me call ya sms ke through kisi tarah ki disturbance nahi chahte iss condition me aap flight mode ki iss secret trick ko use kar sakte hai, agar aap airplane mode ko enable karke mobile data use karne ki iss useful hidden trick ke bare me janana chahte hai to niche diye easy steps follow kare.

Airplane Mode Me Internet Kaise Chalaye 2022 Me

1 Sabse pehle Google playstore open kare.

2 Iske baad 4G LTE Network Switch app install karke open kare.

3 Ab next interface me application ke top side me Settings gear icon par click kare.

4 Iske baad jo next interface open hoga isme kuch bhi setting karne se pehle apne phone ka Airplane mode open kare.

5 Wapas 4g LTE network switch app open karke Mobile radio power option enable kare.

6 Ab bottom side me finally Update option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad aap apne phone me flight mode ko on karke internet ka use kar sakte hai.

Airplane mode enable karne ke baad aapke phone me call aur message block ho jayenge lekin mobile data barabar kaam karta rahega.

I hope aap samajh gaye honge ki flight mode on karne ke baad internet connection kaise on karte hai, agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)

  • Thanks theguidex for fantastic info on backlink.Its Very good short article truly helpful.After reading this article everyone can understand what is backlinks and also exactly how to make best usage to create backlink

    hindi kahaniya Yt