Adsense Channels Kya Hai Aur Adsense Custom Channel Kaise Banaye
Google adsense kya hai aur adsense account kaise banate hai, ye mein aapko pehle bhi bata chuka hu. Aur aaj iss article me mein aapko batane jaa raha hu ki adsense channels kya hai aur adsense par custom channel create kaise karte hai. Adsense google ka hi popular product hai. Jisko hum apne blog/website ya youtube channel me use karke online earning kar sakte hai.
Ek tarah se keh sakte hai ki internet se paise kamane ke liye google adsense program ek best option hai. Chaliye ye to thi adsense ki brief detail jo ki pehle bhi mein aapke sath share kar chuka hu. Ab janante hai ki google adsense custom channel kya hai, aur adsense me channels kaise banate hai.
Adsense Channels Kya Hai
Google adsense custom channels ek tarah ka reporting tool hai, aur isme aap 500 channels tak create kar sakte hai. Jisme aap apne according adsense ads ki list ko manage kar sakte ho. Adsense channels me sabse acchi baat ye hai ki aap publishers ki ads list ko target kar sakte hai. Aur apne hisab se ads ki list collect karke channel create kar sakte hai. Isse aapki adsense CPC aur adsense earnings bhi increase hoti hai.
Adsense custom channel create karke aap perticular ads units ki report create kar sakte hai. Aur apni site par text ads ke sath display ads ka comparison kar sakte hai. Agar aapki site par adsense text ads se jyada image ads ki performance better hai to aap isko apne according set kar sakte hai. Aisa karne se aap apni google adsense revenue aur cpc rate ko increase kar sakte hai.
Adsense Channels Kya Hai Aur Adsense Custom Channel Kaise Banaye
Ab aap samajh hi gaye honge ki adsense account me custom channel create karke aap apni adsense revenue aur adsense cpc ko increase kar sakte hai. Adsnse earnings aur cpc increase karne ke bahut se steps hai aur adsense channels create karna unn steps me se ek hai. To chaliye ab aapka jyada time naa lete hue step by step janate hai ki adsense par custom channel kaise banate hai.
- Youtube Video Monetize Kaise Kare Aur Adsense Se Kaise Jode
- Low CPC Sites Block Karke Adsense Earnings Kaise Badhaye
- Adsense Earnings Ko Direct Bank Account Me Transfer Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle apne google adsense account me login kijiye.
- My ads me jaye.
- Costume channel par click kare.
- New custom channel par click kare.
- Adsense Account Me Multiple Websites Kaise Add Kare
- Adsense Link Ads Kaise Create Kare
- Google Adsense Account Delete Or Disable Kaise Kare
Step 2
Ab ek popup window open hogi, isme diye gaye steps follow kare.
- Name box me channel ka name key kare, apne blog name se bhi enter kar sakte hai.
- Ad units me vo ads hai jo aapki sites par ads apear hoti hai, inme se apne according choose kare. Aur ads ke samne add button par click kijiye, ye aapke new channel me add ho jayegi.
- Jo ads aapne add ki hai, vo yaha par show ho jayegi. Ab kisi ad ko remove karna hai to remove link par click karke kar sakte hai.
- Targeting tick box box me tick kare.
- Ads apear on me apni site ke name ke sath all page key kare. For example hinglishhelp.com all page dekh sakte hai.
- Description me apni website ki description enter kare. Jaise kya kya hai aapki sites par aur kis kis topic par post karte hai. Iske bare me 2-3 line description likhe.
- Finally Save button par click kar dijiye.
Save button par click karte hi google adsense aapka custom channel create ho jayega. Channel create karne ke baad iski tracking dekh sakte hai. Aur adsense ads ka comparison kar sakte hai aur channels ki earning report analys kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki adsense channels kya hai aur adsense me custom channel kaise create karte hai. Agar post se related aapka koi saval ho to comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye article helpful laga ho to isse apne dosto ke sath share bhi jarur kare.
thanks Bro, Bahut hi achhi jaankari di hai aapne. Ess se mere jaise new bloggers ko bahut help milti hai.
welcome n keep visiting
thanks bro bhut achchi jaankari hai google adsense custom channel ke bare me
welcome