Adsense Account Me Multiple Website Kaise Add Kare
Hello friends, mere kai dost aksar mujhse puchhte ki kya google adsense account par ek se jyada websites add kar sakte hai. To dosto iska jawab mein aaj ke iss article se batane ki koshish kar raha hu. Isliye aaj mein aapko batane jaa raha hu ki google adsense account me multiple website kaise add kare.
Bahut se bloggers hai jo do ya do se jyada blogs par work karte hai. Aise me har blog ke liye alag adsense account approved karna thoda mushkil hoga. Agar aapka google adsense me account hai aur usme blog banakar add kiya hai, to iske sath hi aap apne dusre blog ko bhi add kar sakte hai.
Dusri Website Add Karne Ke Liye Adsense Terms and Conditions
- New site add karne se pehle isse google search engine jaise google webmaster aur google analytics par add kare.
- Same information wale blog ko add nahi kar sakte hai. Alag alag jaankari wali website submit kar sakte hai. Forexample food blog or technology blog etc.
- Aur aapke blogs par quality aur clean contents hone chahiye, koi bhi ashleel contents na likhe etc.
Google Adsense Account Me Multiple Website Kaise Add Kare
Apne Adsense account par aap do ya do se jyada websites aasani se add kar sakte hai. Ek se jyada website ko ek hi adsense account par add karne ke liye niche diye easy steps ko follow kare.
Step 1
Sabse pehle apne google adsense account me login kijiye.
- Settings par click kare.
- My sites me click kare.
- Plus icon par click kare.
Step 2
Ab ek popup window open hogi, isme apni new blog address add karna hai.
- Apni new website ka address (url) bhare.
- Add site par click kare.
Lijiye aapki new website google adsense me add ho gayi hai. Issi tarah se aap ek adsense account me ek se jyada sites ko add kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe
- Google Adword Me Account Kaise Banaye
- Adsense Link Ads Kaise Banate Hai
- Google Adword Planner Tool Ka Use Kaise Kare
- Google Search Me Blog Post Ko Jaldi Index Kaise Kare
- Yandex Webmaster Tool Me Blog Ko Submit Kaise Kare
- Bing Webmaster Tool Me Blog Submit Kaise Kare
I hope, ab aap samajh gaye honge ki google adsense account me multiple website kaise add kare. Agar koi problem ho ya aapka koi saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye jaankari helpful lage to social networking sites par isse share karna naa bhule.
Good information.
nice post sir……
aapki post se mujhe bahut help mili….. thanks
meri 2nd website kabtak approoved ho jayegi ya main kabtak ispar add submit kar sakta hu
agar aapki 1st website se adsense approved hai to dubara se 2nd se approved karne ki jarurat nahi hai. ek hi adsense par dono website ko add kar sakte ho.
GREAT INFORMATION SIR
Thnx
nice post sir headsoff
Thanks
Nice information share karne ke liye dhanyawad
Welcome
Sr ek domin ke liye ek hi adsense kam krta h hamko to yhi jankari h
nahi aisa nahi hai aap ek adsense account me muliple domain add kar sakte ho
Meri website 7 days old hai aur main apni website ko approved adsense account me add kar sakta hu kya.
bilkul agar ek din old bhi ho to add kar sakte ho
Very nice information sir
dhanyawad..
Sir hum ek email id se do website bana sakte hai kya ek wordpress pe aur ek blogger pe approvel me koi problem to nahi hogi
Aap ek email se multiple website create kar sakte ho isme koi prblm nhi hogi.
aapne likha hai ki ek hi prakar ke blog ko adsense me add nahi kar skte. sir mere pas ek hi type ka blog hai hindi aur english dono ko maine add kar diya hai to isse koi problem hai
same language, style aur same information par copyright claim ho sakta hai jiska asar adsense par padta hai. agar aapka other blog english me hai aur different style me jankari hai to isme koi problem nahi hai.
Sir dusri ko add karne ke baad google adsense se koi verification mail aata hai ya nahi. Ya fir dusri site ko add karke us par ads laga diye jate hai.
Nahi ye direct apply ho jata hai
Niece post mujhe kabhi help mili h
Like!! Thank you for publishing this awesome article.
Hello sir hum ek adsense account me kitni website add kr skte hai