X

Adsense Account Disable Or Delete Kaise Kare In Hindi

Hello friends, google adsense ke through aap online paise kama sakte hai. Adsense ke ads aap apne blog/website ya youtube videos me lagakar online earning sakte hai. Adsense account kya hai aur adsense me account kaise banate hai, ye hum pehle hi jaan chuke hai. Lekin kisi vajah se agar aap apna google adsense account delete karna chahte hai. Aur nahi janate hai ki adsense account ko disable kaise karte hai. To aaj mein aapko bataunga ki apna adsense account disable or delete kaise kare.

Adsense Account Disable Or Deactivate Kyu Kare

Google adsense ek se jyada account ki permission allow nahi karta hai. Isliye agar aapka pehle se adsense par account hai. Website close, insufficient earning, poor ad filtering aur poor ad targetting ya kisi or vajah se isse delete karke new adsense account create karna chahte hai. To aapko old account delete karna hoga, tabhi aap adsense par new account bana sakte hai. Adsense account ko remove kaise karte hai, aaiye step by step janate hai.

Adsense Account Disable Or Delete Kaise Kare

Step 1

Google adsense account ko delete karne ke liye, sabse pehle apne google adsense account me login kare.

  1. Settings par click kare.
  2. Account me jaye.
  3. Account informationa par click kare.
  4. Cancel account link par click kare.

 

 

Step 2

Ab next window me account delete karne karne ke liye reason select karna hai.

  1. Dropdown menu se account cancel karne ka reason select kare.
  2. Terms and conditions tick box par tick kare.
  3. Continue Ke button par click kare.

 

Ab adsense aapki email id par ek mail send karega, jisme account delete karne ka ek confirmation link hoga. Iss message ko open kare aur adsense account ko permanently delete karne ke liye iss link par click kare.

Ab aapka adsense account disable ho jayega, account delete hone ke baad wapas reopen nahi kar sakte hai. Isliye aisa karne se pehle acche se soch lijiye.

Ye Bhi Padhe

Ummeed hai aapko iss post ki help se apna adsense account delete karne me help milegi. Phir bhi agar aapko koi saval ho to apne comment ke through puch sakte hai. Aapko savalo ka jawab dene me mujhe khushi hogi. Agar aapko ye article helpful lage to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (14)

  • mera hosted account hai (youtube). Ab isko dete kogke blogspot se re apply karna chahta hu. mugar adsense and blogspot account same hai. Isme koi problem hoga kay.

  • sir mene mera adsense account disabled kar diya hai. ab me dusre email se apply karu ya usi email id se kar sakta hu

    • aap ek baar adsense help center me apply kijiye, aur unko mail kijiye iske bare me. agar help center aapki request accept nahi karte hai to aapko new id par adsense ke liye apply karna hoga.

  • Sir , stating की बटन हाईलाइट नहीं हो रही है तो क्लिक कैसे करूं

  • Mera adsence account delete ni ho raha h jaise m usko cancel accout krta hu or jo link aati h usko upen krta hu to likha aata h
    How to fix we are working on setting up on
    Then usually takes less than a day but in some cases it can take a bit longer we ill notfy you when everything's ready then start earning money by placing ads

      • Isko cancel krne k liye m is link pr jaata hu na sir to meri wo id upen hoti h jo jo ab m use kr raha hu or uska interface m aisa aata h
        First name
        Last name
        Contact email id
        AdSense Publisher id to ab y btao jo id upen h usse to uska koi sence ni h
        Un m aapna name id or Publisher id submit kr du kya sir

        • sabhi id se logout karke adsense wali id se sign in karephir ye process follow kare