X

Google Adsense Account Kaise Create Kare

Google adsense account kaise create kare  iss post me hum janenge so agar aap ek blogger hai ya fir aapka youtube channel hai to aap inn dono platforms par google adsense ke through earning kar sakte hai, lekin iske liye pehle aapko apna adsense account create karna hoga tabhi aap google ads ke through online earning kar sakte hai.

Internet par bahut sare alternate resources hai jinke through hum online earning kar sakte hai lekin online earn karne ke liye google adsense program best resources me se ek hai kyuki google adsense baki sabhi resources se jyada paise pay karta hai, isliye aapko online earning karne ke liye google adsense account use karna chahiye.

Adsense Account Create Karne Ke Liye Kya Chahiye

Apna google adsense account create karne se pehle adsense ki terms and conditions ko dhyan se padh lein, iske baad niche diye gaye requirements ko complete kare.

  • Aapki age 18+ honi chahiye.
  • Apka kam se kam ek blog or website honi chahiye.
  • Aapki website ka navigation aur design ek professional look me hona chahiye.
  • Website content unique aur interesting hona chahiye.
  • Website ka jo navigation hai vo clear aur user friendly hona chahiye.
  • Adsense policies ke saath aapki website comply karni chahiye.
  • Time to time adsense ki policies change hoti rehti haih isliye unhe up to date rakhna bahut jarur hai.
  • Aapki website ya blog me about us, contact us, privacy policy aur terms and conditions page publish hona chahiye.

Google Adsense Se Earning Kaise Hoti Hai

Google adsense google ka hi ek popular product hai, jisse aap apni website or blog me use karke paise earn kar sakte hai, aur publishers ke liye google adsense ek better advertising program hai.

Adsense program website or blog me ads post karta hai jinpar humare visitors dwara click kiye jane par humari earning hoti hai, humari website ki posts me show ho rahe ads par visitors dwara jitne jyada click honge humari jo earning hai vo bhi utni jyada hogi.

Agar aap ek youtuber hai to apne youtube videos ke through bhi aap earning kar sakte hai, iske liye aapko apne youtube channel se adsense account ko connect karna hoga, apne youtube channel ko monetize karna hoga, Agar aap youtube videos ko monetize kaise kare ye nahi janate hai to iss liye par click karke aap iski puri jankari le sakte hai.

Google Adsense Account Kaise Create Kare

Apna google adsense account create karne ke liye niche diye gaye easy steps ko follow kare, lekin isse ye kaam aapko thoda carefully karna hai apni detail dhyan se enter karni hai taki infuture kisi bhi tarah ki koi problem na aaye.

Step 1

Sabse pehle Google adsense link open karke Sign up option par click kare.

Step 2

Iske baad apne Gmail account me login kare, agar already logged in hai to apne gmail account ko select kare.

Step 3

Ab ek form open hoga isme dhyan se apni informatio enter kare.

  1. Yahapar apni website ka URL enter kare.
  2. Agar website nahi hai to iss box par tick kare other apni website ka link enter kare.
  3. Agar adsense ki taraf se kisi bhi tarah ki suggessions nahi chahiye to tick kare.
  4. Apni country select kare.
  5. Terms and conditions check box par tick kare.
  6. Start using adsense option par click kar dijiye.

Step 4

Ab aap google adsense me sign in ho jayenge yahapar kuch aur steps aapko follow karne hai. Yahapar sabse pehle Payment section me Enter information option par click kare.

  1. Account type me Individual select kare.
  2. Name ki field me apna full name enter k are.
  3. Apna address aur pincode enter karke state select kare,
  4. Phone number enter kare.
  5. Submit option par click kar dijiye.

Step 5

Iske baad phone number verify karne ka option aayega, yahapar Text message(SMS) option ko select karke Send option par click kare.

Step 6

Iske baad OTP code enter karne ka option aayega aur sath hi aapke phone number par ek code aayega, iss code ko yahapar enter karke Submit option par click kare.

Step 7

Iske baad Connect your site to adsense section me Let’s go option par click kare.

  • Meta code option ko select kare.
  • Copy option par click karke meta code copy kare.
  • Apni website ke editor section me jaye aur <head> code ke niche copied meta code paste kare.
  • Iske baad Verify option par click kar dijiye.

Lijiye aapka google adsense account ban gaya hai, ab thoda wait kijiye ek week ke under aapke gmail id par adsense account approved hone se related ek message aayega.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki google adsense account kaise create kare, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More