Adobe photoshop me slice tool ka use kaise karte hai aaj iss post me hum janenge. Adobe photoshop me slice tool ek bahut hi useful tool hai. Aur photo or image ko smaller sections me devide karne ke liye iss tool ka use hota hai.
Basically slice tool ka use web designing work ke liye hota hai. Webpage par upload karne ke liye kisi image ka size jyada hai. To slice tool ki help se badi hi aasani se uss image ka size kam kar sakte hai. Iss tool se html slice image create hoti hai jo webpage par easily upload ho jati hai.
- Adobe Photoshop Me Crop Tool Ka Use Kaise Kare
- Adobe Photoshop Magic Wand Tool Ka Use
- Photoshop Me Lasso Tool Ka Use Kaise Kare
Slice tool ka use karke sliced image ko web page ka layout create karne ke liye istemal kiya jata hai. Yani ki hum slice tool ka use html slice image create karne ke liye karte hai. Aur phir kisi bhi webpage par upload kar ek accha layout taiyar kar sakte hai.
Slice Tool Ka Use Kaise Kare – How to Use Slice Tool in Adobe Photoshop
Adobe photoshop me slice tool ka use karna bahut hi easy hai. Ek baar aap slice tool ka use karna jaan lenge. To next time se easily iss tool ka use kar sakte hai. Html slice image ya webpage layout ke liye slice tool ko kaise istemal karte hai aaiye step by step janate hai.
Open Image/Photo
Sabse pehle adobe photoshop ko open kare. Aur jiss image ya photo me slice tool ka use karna hai. Usse Ctrl+O button dabakar open kare.
- Slice tool ko select kare ya keyboard me (K) key press kare.
- Ab html slice image cut karne ke liye button select kare. Ya phir jitne area ko aap apne according select karna chahte hai usse mouse se drag karke select kare.
Create & Delete
Ab aap image me dekh sakte hai ki maine sabhi menu buttons select kar liye hai. But last wala menu pura select nahi hua hai. Isse dubara se select karne ke liye aap slice select tool ka use kar sakte hai. Ya phir border ko mouse se drag karke bhi complete selection kar sakte hai.
Note: Agar koi selection galat ho jaye ya sahi prakar se select na ho to aap uss selection par Ctrl+Click karke delete kar sakte hai.
Show & Hide Slice Boundaries
Slice boundaries ko hide or show karne ke liye Ctrl+H button press kare. Ya phir boundaries hide karne ke liye photoshop menu me View > Show > None par click kare. Aur unhide karne ke liye View > Show > Slices par click kar sakte hai.
Change Color of Slice Lines
Slice line ka color change karne ke liye photoshop options me Edit > Preferences > Guide, gride & slices par click kare. Ab ek popup box open hoga yahapar aap guide, grid aur slice line color ko change kar sakte hai.
Show & Hide Slice Numbers
Slice selection me numbers bhi show hote hai. Agar inn numbers ko hide ya show karna hai to Edit > Preferences > Guide, gride & slices me jaye. Aur slices section ke niche Show slice numbers ke tick box me tick kar dijiye.
Iss tarah se aap adobe photoshop me slice tool ka use kar sakte hai. html slice image or web layout create karne ke liye. To dosto iss photoshop tutorial me bus itna hi slice tool ka use kaise kiya jata hai. Hope aap samajh hi gaye honge.
Slice tool ke bare me agli post me aapko detail me bataunga. Agar aapka koi sujhav hai slice tool se related to comment box me apna sujhav de sakte hai. Aur agar aapko ye jankari acchi lagi hai to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.