X
    Categories: WORDPRESS

Favicon Icon WordPress Blog Me Kaise Add Kare

Favicon icon kya hai aur favicon ko wordpress blog me kaise add karte hai, aaj iss article ke madhyam se hum janenge, to chaliye start karte hai.

Blog Favicon Icon Kya Hai

Blog favicon website ka icon hota hai, jo ki browser ke topside tab me show hota hai, size ki baat kare to wordpress blog ke liye lagbhag 512x512 pixels ki image honi chahiye, aur isse aap online free me download kar sakte hai, aur apne blog me add kar sakte hai.

Favicon humare blog ki pehchan hoti hai, aapne bahut si popular sites dekhi hogi, unn sabhi ka apna alag icon hota hai, jaise niche image me facebook, youtube aur blogger ka icon dekh sakte hai.

 

Favicon Icon Ko Wordpress Blog Me Kaise Add Kare

 

Step 1

Sabse pehle apne WordPress me login kare, aur dashboard me jaye.

  1. Plugins me click kare.
  2. Favicon by RealFaviconGenerator plugins ko download kare aur active kar dijiye.

 

Step 2

Ab wapas wordpress dashboard me aaye.

  1. Appearance par touch kare.
  2. Customize me click kare.

 

Step 3

Ab agle page me left site options me se Site Identity par click kare.

 

Step 4

Ab jo next window open hogi, isme Select Image button par click kare, aur computer gallery me jaha par aapne favicon image save kiya hai, vaha se image choose kare.

 

Step 5

Ab aapka blog favicon image upload gayi hai, ab isse save & publish karna hai.

  1. Yaha par aap dekh sakte hai ki favicon kaise show hoga.
  2. Finally Save & Publish button par click kare.

 

Step 6

Ab ek bar phir apne wordpress dashboard me jaye.

  1. Appearance par me jaye.
  2. Favicon par click kare.

 

Step 7

Ab thoda dropdown kare, aur Select from the Media Library me click kare aur ek bar phir se uss favicon image ko select kare, jisse aapne pehle hi save & publish kar diya hai.

 

Step 8

Ab nex window me scroll down kare aur app name box me image ko koi bhi name dijiye.

 

Step 9

Iske baad scroll down kare aur bottom me Generate you Favicons and HTML code ke button par click kare.

 

Step 10

Ab agle page me aapka favicon image installed ho gaya hai, niche image me dekh sakte hai ki alag alag operating system me favicon kaise show hoga.

 

Lijiye aapke blog me favicon add ho gaya hai, ab kuch der baad apni website open kare, aap dekhenge ki aapka blog icon change ho gaya hoga, agar koi problem aaye ya aapka koi saval ho to aap comment ke through puch sakte hai, aur post acchi lagi ho to isse social media me apne friends ke sath bhi share kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (4)

  • बहोत ही उमड़ा जानकारी दी है ब्लॉगर के लिए महत्व पूर्ण ये टॉपिक हो सकता है...