X
    Categories: FACEBOOK

Aapki Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha Kaise Check Kare Mobile Aur Computer Me

Facebook me bahut se users aapki facebook profile ko check karte honge. Agar aap aise facebook user ka pata karna chahte hai jisne aapki profile dekhi ho. To aajki ye post aapke liye hi hai. Aaj hum baat karenge ki aapki facebook profile ko kis kisne dekha. Yani ki mobile or computer me kaise pata kare ki aapki facebook profile page me kisne visit kiya hai.

Aap computer me facebook use karte ho, chahe mobile me facebook chalate ho. Dono place par me aapko bataunga ki apne facebook profile visitors ko kaise check karte hai. To chaliye dosto ab aapka jyada time na lete hue start karte hai ki iske liye aapko kya karna hai.

Aapki Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha Kaise Check Kare Mobile Aur Computer Me

Computer or mobile me aapki facebook profile ko kis kisne dekha, aur vo male hai ya female ye check karna bahut simple hai. Niche diye easy steps ko follow karke aap badi aasaani se pata kar sakte ho. To chaliye dosto step by step janate hai ki iske liye kya karna hai.

Mobile Me Aapki Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha

Agar aap android phone me facebook use karte hai. To apne facebook profile visitors ko check karne ke liye ye steps follow kare.

Step 1

Sabse pehle android mobile me google play store open kare. Aur who viewed my profile stranger app ko apne android phone me install kar lijiye.

 

 

Step 2

Installation complete ho jane ke baad iss application ko open kijiye. Ab login karne ke liye option aayega, apna facebook login id aur password dalkar login kare, thodi der wait kijiye.

 

Step 3

Kuch hi der me aapke samne vo users show ho jayenge jo aapki profile par visit kar chuke hai. More visitors ko dekhne ke liye bottom side me load more button par click kare.

 

Iss tarike se aap apne android mobile me pata laga sakte hai ki aapki facebook profile ko kin kin logo ne check kiya hai.

 

Computer Me Kaise Check Kare Aapki Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha

Computer me ye check karna ki aapki facebook profile par kin kin logo ne visit kiya hai. Bahut hi simple hai iske liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Step 1

Sabse pehle apne computer me facebook official website me login kare. Ab jo page open hoga isme kahi par bhi right click kare. Ab kuch option show honge, isme view page source par click kare.

 

Step 2

Ab aapke facebook ka page source yani html page open hoga. Isme Ctrl+F key press kare aur initialchatfriendslist likhkar find kare. Ab intialchatfriendlist ki coding me pahuch jaoge, yaha par aap kai sare profile ke codes ko dekh sakte hai. Inn codes me kisi bhi code ko copy kare.

For example:- 100024720-2 code me se aapko 100024720 code copy karna hai. Aur code ke end me -2 ko ignore karna hai.

 

Step 3

Code copy karne ke baad apne facebook page me wapas jaye. Aur jo code copy kiya tha usse facebook.com/ ke baad paste kijiye aur enter press kare.

 

Jaise hi aap enter press karenge aapke samne uss user ka profile open ho jayega. Jisne aapki facebook profile par visit kiya tha, to hai na dosto kafi simple trick.

 

Issi tarah se aap kisi bhi users ko check kar sakte hai, jisne aapki facebook profile par visit kiya ho. Aapki facebook profile ko kis kisne dekha hai kaise check karte hai. Ab aap jaan gaye hai, fir bhi aapka post se related koi bhi saval ho to comment karke puch sakte ho. Aur agar facebook profile visitors ko check karne ki ye trick acchi lagi ho to isse social media me share bhi jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (7)