X
    Categories: ANDROID

Aadhar Card Se Pan Card Link Hai Kaise Pata Kare

Aadhar Card Se Pan Card Link Hai Kaise Pata Kare iss post me hum janenge to agar aap ye apna pan aadhar linking status check karna chahte hai aur janana chahte hai ki aapka aadhar card pan se link hai ya nahi to iss post me aapkbataye easy steps ko follow kare.

Apna aadhar aur pan card link jarur karna chahiye kyuki baad me aapko iski bahut jarurat padne wali hai isliye pan card se aadhar link jarur hona chahiye agar already aapka pan aur aadhar link hai aur aapko iska status pata nahi hai to abhi aap apna pan aadhar linking status pata kar sakte hai, to chaliye step by step janate hai.

Aadhar Card Se Pan Card Link Hai Kaise Pata Kare

1Sabse pehle Google chrome browser open kare.

2 Iske baad search baar me Income tax likhkar search kare.

3 Ab search result page me top me Income tax link par click kare.

  • Iske baad income tax ki site open ho jayegi yaha se aap aasani se apna pan aadhar linking check kar sakte hai.
  • Lekin isse pehle apna pan card verify kar lijiye.

4 Aapka pan card valid hai ya nahi iske liye yahapar Verify pan status option par click kare.

5 Iske baad next interface me apne apne Pan Card ki detail enter kare.

  • Pan ki field me pan card number enter kare.
  • Full name ki field me apna pura naam enter kare same pan card me jo naam hai same vo name yahapar enter kare.
  • Calendar option per click karke apni Date of birth select kare.
  • Phone number ki field me apna phone number enter kare.
  • Continue option par click kar dijiye.
  • Iske baad OTP code enter karne ka option aayega aur sath hi aapke phone me ek OTP aayega usse yahapar Enter kare.
  • OTP code enter karne ke baad Validate option per click kare.

Iske baad Pan card ka status aapoe samne aa jayega yahapar PAN is active and details are as per PAN  message aapko show hoga iska matlab ye hai ki aapka pan card valid hai.

6 Pan verify karne ke baad Go to home page option par click kare.

7 Iske baad apna pan aadhar linking status check karne ke liye Link aadhar status option par click kare.

  • Ab next interface me apna Pan card number enter kare.
  • Iske baad apna Aadhar card number enter kare.
  • Ab finally View link aadhar status option par click kar dijiye.

Iske baad ek popup open hoga jisme pan aadhar link status aapko pata chal jayega yahapar your pan number already linked to given aadhar number message aapko show hoga jiska matlab ye hai ki aapka pan card aadhar card se already linked hai.

Iss tarah se aap easily check kar sakte hai ki aapka aadhar card pan card se linked hai ya nahi, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More