X

5 Instagram Secret Tips & Tricks and Hidden Features in Hindi

5 instagram secret tips & tricks and hidden features aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu, jo aapke instagram user experience ko aur bhi jyada better bana degi. Agar aap inn 5 instagram tips & tricks aur hidden features ke bare me janana chahte hai to iss post ko dhyan se padhe.

Facebook ki ownership wala instagram ek top photo video sharing site hai jisme user apni quality photo, pictures ya videos ko share karte hai. Iss platform ka use celebrities, politicians aur cricketers ke alawa aam log bhi kaafi badh chadh kar kar rahe hai.

Agar aap bhi instagram app ka use karte hai to aapko instagram ki secret tips and tricks aur features ke bare me pata hona chahiye. Aise me hum iss post me kuch hidden instagram tricks aur features ke bare me janenge to chaliye shuru karte hai.

5 Instagram Secret Tips & Tricks and Hidden Features in Hindi

Mostly users inn 5 instagram secret tips & tricks aur hidden features ke bare me nahi janate hai. Aise me agar aap bhi instagram ki secret features ke bare me janana chahte hai to niche diye steps ko follow kare.

#1 Download Instagram Video

Agar aapko instagram par upload koi video pasand aati hai aur aap usse download karne ki soch rahe hai to instagram par aisa koi option nahi hai jisse aap video download kar sake. Isliye agar aapko instagram video ko download karna hai to niche diye gaye steps ko follow kare.

  1. Sabs pehle instagram video ke top right corner par 3 dots par click kare.
  2. Iske baad Google chrome browser open kare aur usme www.w3toys.com site open kare.
  3. Ab aap instagram downloader page me pahuch jaoge, isme diye box me copied video link paste kare aur bottom side me Download button par click kare. Kuch hi der me instagram video download ho jayega.

#2 Zoom Other’s Profile Image

Agar aap instagram par kisi ki profile image ko dekhte hai to vo full size me show nahi hoti hai agar aap uss profile image par click bhi karenge tab bhi profile image zoom nahi hoti hai. Agar aap kisi other instagram user ki profile image ko zoom karke dekhna chahte hai ye steps follow kare.

  1. Sabse pehle uss instagram user ke profile ko open kare jiski profile image ko zoom karna hai.
  2. Ab top right side me 3 dots par click kare
  3. Ab kuch option aayenge to isme copy profile url option par click kare.
  4. Iske baad google chrome browser open kare aur copied profile url ko paste kare.
  5. Paste karne ke baad url me instagram se thik pehle zero (0) add kare. For example “www.0instragram.com/”.
  6. Ab link ko open karenge to next interface me profile image par click kare.

Click karte hi uss user ki profile image full size me aa jayegi, to iss tarah se aap kisi ki bhi instagram profile image zoom karke dekh sakte hai.

#3 Get Post Notification of Specific Friends on Real Time

Instagram par agar aapke kuch aise friends hai jinki post notifications ko aap miss nahi karna chahte hai aur jab bhi vo friends instagram par koi bhi photo video upload kare aap uski notifications ko turant pana chahte hai to inn isteps ko follow kare.

  1. Sabse pehle apne uss friend ki post par top right hand side me 3 dots par click karna hai.
  2. Ab ek popup open hoga to isme Turn on post notifications ke option par click kare.

Iske baad aapko vo friend jab bhi koi post update karega to aapko iska notification turan mil jayega. Aap ye setting kisi bhi friend ki profile ko open karke bhi kar sakte hai.

#4 Hide Online Status

Agar aapko instagram par apne online status ko chupana hai to aap easily apne status ko hide kar sakte hai iske liye niche diye steps follow kare.

  1. Sabse pehle instagram open karke bottom rightside me apne profile icon par click kare.
  2. Ab top right side me 3 lines par click kare.
  3. Next interface me bottom side me settings ke option par click kare.
  4. Setting page me aapko privacy par click karna hai.
  5. Ab kuch option aayenge to yahapar activity status par click kare.
  6. Next interface me show activity status ke samne toggle button ko disable kar dijiye.

Iske baad aapka instagram online status sabhi users se hide ho jayega.

#5 Make Instagram Private

Agar aap apne public instagram account ko private banana chahte hai to aap niche diye steps ko follow karke apne instagram account ko private account me convert kar sakte hai.

  1. Sabse pehle instagram open kar bottom right side me profile icon par click kare.
  2. Ab top right side me 3 lines par click kare.
  3. Bottom side me Settings par click kare.
  4. Ab Privacy option par click kare.
  5. Next interface me Account privacy option par click kare.
  6. Iske baad next page me private account ke samne toggle button par click karke enable kar dijiye.

Iske baad aapka instagram account private ho jayega aur ab jab tak aap kisi ko approved nahi kar dete hai vo aapke post ko nahi dekh sakenge.

I hope aapko 5 instagram secret tips & tricks and hidden features ki ye jankari helpful lagi hogi. Agar aapko ye post pasand aayi hai to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)

  • बिना गर्लफ्रेंड का मोबाइल टच किये उसकी कॉल अपने फोन पर कैसे सुनें ? says:

    Thanks sir ji