INSTAGRAM

5 Instagram Secret Features and Tricks – Instagram Tips and Tricks

Aaj ki iss post me mein aapko 5 instagram secret tricks ke bare me bataunga, so agar aap instagram use karte hai to aapko ye sabhi hidden instagram tricks ka pata hona chahiye.

Currently instagram ek most popular social media platform ban gaya hai aur mostly internet users iska use karte hai aise me agar aap bhi instagram user hai to ye 5 secret insta tricks ke bare me aapko pata hona chahiye.

5 Instagram Secret Tricks – Instagram Tips and Tricks

Instagram ke 5 features or updates ko use karne ke liye sabse pehle aapko Playstore se instagram app ko update karna hai, jiske baad aap niche diye gaye insta features use kar sakte hai.

Vanish Mode

Kisi bhi instagram chat me aap vanish mode ka use kar sakte hai yani ki agar aap apne kisi friend se chat kar rahe hai to aise aap instantly chat me sabhi messages ko hide kar sakte hai.

Instagram chat me sabhi messages ko chupane ke liye aapko chat screen me upar ki taraf swipe karna hai jiske baad uss chat ke sabhi messages hide ho jayenge.

Send Gift Message

Instagram chat me aap gift message bhi send kar sakte hai iske liye aapko apne friend ki chat open karke message baar me koi message type karna hai.

Ab message bar me left side me Search icon par click karna hai, jiske baad kuch gift templates aapke samne aayenge to inme koi bhi ek select karte hi uss template me gift message send ho jayega.

Pin Comments

Instagram comment section me aap apni post ke kinhi 3 comments ko top me pin kar sakte hai, iske liye aapko message par touch karna hai jiske baad top side se kuch options highlight ho jayenge to inme se Pin option par click karke uss comment ko top me pin kar sakte hai.

Archive Posts/Stories

Instagram par share ki gayi aapki posts or stories timeline se hide hone ke baad archive section me save ho jati hai iske liye aapko instagram privacy settings me Save story to archive option ko enable karna hai.

Iske baad aap instagram archive section me apni sabhi saved stories ko dekh sakte hai aur agar aapko instagram posts dekhni hai to iske liye aapko top side me Stories archive dropdown par click karna hai. Jiske baad Posts option par click karke aap apni sabhi instagram posts dekh sakte hai.

Remove Business Instagram Account

Agar aapka instagram par business account hai aur ab wapas personal instagram account me switch karna chahte hai to iske liye aapko instagram settings page open karna hai.

Ab settings page me Account option par click karna hai aur bottom side me Switch account type option par click karna hai.

Iske baad bottom side se aapke samne 2 options aayenge to inme se aapko Switch to personal account option par click karna hai.

Ab ek popup open hoga to isme Switch back option par click karke aap apne business instagram account ko personal account me convert kar sakte hai.

I hope aapko ye sabhi instagram hidden features ki jankari helpful lagi hogi, agar aapko ye post pasand aayi hai to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.