WHATSAPP

3 Whatsapp Status Secret Tricks Sikhe – Whatsapp Tips & Tricks

3 Whatsapp status secret tricks iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap whatsapp user hai aur apne whatsapp account par status update karte hai to iss whatsapp tips & tricks tutorial me batayi gayi ye 3 hidden status tricks aapko bahut pasand aayengi. To kaunsi hai whatsapp status ki ye 3 hidden tricks chaliye iss post me janate hai.

3 Whatsapp Status Secret Tricks Sikhe – Whatsapp Tips & Tricks

Mute Status Video

Whatsapp par aap apne status me video share karte time uski voice ko silent kar sakte hai aur fir apne status me share kar sakte hai, jane kya hai tarika.

1 Sabse pehle Whatsapp open kare.

2 Ab top side me Status option par click kare.

3 Iske baad My status option par click kare.

4 Ab apni mobile gallery se koi bhi Video select kare.

5 Iske baad next interface me Video layer ke niche top left corner me Speaker icon par click kare.

6 Ab video me audio disable ho jayega finally Share button par click kar dijiye.

Create GIF

Whatsapp status me koi bhi video share karte time aap uski GIF bana sakte hai aur apne status me upload kar sakte hai, jane kya hai tarika.

1 Whatsapp open karne ke baad Status option par click kare.

2 Iske baad My status option par click kare

3 Ab gallery se koi Video select kare.

4 Iske baad video layer me starting ya end se video ki length 6 Seconds par set kare.

5 Video length 6 seconds hote hi video layer ke niche right side me GIF option par click kare.

6 Ab video GIF me convert ho jayega finally Share button par clic kar dijiye.

Align Text & Stickers

Apne whatsapp status me aap koi text or stickers ko centralize kar sakte hai or left right, up down kahi par bhi align kar sakte hai, jane kya hai tarika.

1 Sabse pehle whatsapp open karke Status option par click kare.

2 Iske baad My status par click kare.

3 Ab gallery se koi photo ya video Select kare.

4 Iske baad top side me Sticker icon par click kare.

5 Ab koi Sticker or Emoji select kare.

6 Iske baad sticker par Press hold karte huye move karenge to vertical aur horizontal green line show hogi jiske through aap sticker or emoji ko status ke beech me add kar sakte hai.

I hope, whatsapp status ke ye 3 secret tricks aapko pasand aayi hogi, agar aapko ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “3 Whatsapp Status Secret Tricks Sikhe – Whatsapp Tips & Tricks

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.